Ooncha rahe apna alam

- Sachey Bhai (1990)


1 Jab tak hai dohre aasamaan
Sun le yeh har peeroon jawaan
Awaaz per shabbir ki 
Barhta rahe yeh karwaan
Rukne na paye yeh qadam
Ooncha rahe apna alam

2 Har qalb per chahte chaloo
Duniyaa ko batlate chaloo
Ek ek mahaz-e-zulm ki
Tasweer dikhlate chaloo
Har dil main bhar doo she ka gham
Ooncha rahe apna alam

3 Kab tak na mane ga koi
Woh waqt aaye ga kabhi
Har qalb per chah jayee ga 
Apna hussain ibne ali
Duniya rahe zere qadam
Ooncha rahe apna alam

4 Jab bhi koi mushkil pari
Duniya issi dar per jhukki
Seenoo pe bal kha ker odhar
Otthi sadayen ya ali
Nikal idhar batil ka dam
Ooncha rahe apna alam

5 Yeh parcham-e-abbas hai
Toote diloon ki aas hai
Ab tak issi parcham tale
Zindaan kisi ki pyaas hai
Jis ne sahi lakhoon sitam
Ooncha rahe apna alam

6 Abbas hai naam-e-wafa
Aghaazoo anjaame wafa
Moo maur ker darya se joo
Peeta raha jaame wafa
Hote rahe bazoo qalam
Ooncha rahe apna alam

7 Zindaa hai hal min ki sada
Mitta nahi khoon ka likha
Shabbir ke haq ki kasam
Ek mojeza hai karbala
Yeh silsila na hoga kam
Ooncha rahe apna alam

8 Jab karbala yaad aaye gi
Insaniat Sharmaye gi
Mazloom ki awaaz hai
Mil main oter ti jaye gi
Paltain ge phir bahke qadam
Ooncha rahe apna alam

9 Aye naujawana ne aza
Tum ho kisi dil ki dua
Ta hashr othti hi rahe
Seno se matam ki sada
Qayam rahe akber ka gham 
Ooncha rahe apna alam