Haye Kiyon Nahin Kiya
- Miscellaneous (2014)
Hay kyo naa kiya laasha
Mazloom dafn tera
Makhtal ki khak ban gayi
Shabbir kafn tera
1 Aab kaun bachane ko, aaye ga madine se
Hai dur karbala se, shabbir watan tera
Hay kyo naa kiya laasha, Mazloom dafn tera
2 Ek din mei kahi laashe, nikle tere ghar se
Aabad aab naa hoga, zahrah yeh sehen tera
Hay kyo naa kiya laasha, Mazloom dafn tera
3 Ujdi hoyi zainab ne, maktal mei tere akar
Teero se hai nikala, shabbir badan tera
Hay kyo naa kiya laasha, Mazloom dafn tera
4 Shabbir ke lashe se aawaz yeh aati thi
Har zukhm se ziyada hai dard behen tera
Hay kyo naa kiya laasha, Mazloom dafn tera
5 Maa kehti thi kasim ki uth laal laga mehdi
Teri laashe pe layi hai zainab bhi shogun tera
Hay kyo naa kiya laasha, Mazloom dafn tera
6 Akbar ka kahi laasha kahi bazu hai gaazi ke
Ujda hai barchiyo se hai bage adan tera
7 Sajaad muhari ko jakda hai janjiro se
Kun ba chala hai kufe pabande rasn tera
Hay kyo naa kiya laasha, Mazloom dafn tera
8 Har phool ko neze pe bejurm saja yaa hai
Kat ke bhi sar bulande hai, ey shah-e-zaman tera
9 Pyasa ho kahi deen se mujhe paani pila dena
Suna kesa hurmala ne asghar yeh sukhan tera
Makhtal ki khak ban gayi
Shabbir kafn tera