Husain haay husain
- Sahil Jaunpuri (2011)
?Husain haay husain--(8)
hai aasamano zameen par,
husain ka matam.
Ali k laal shahe mash rakaein ka matam.
Husain haay husain-- (8)
Ali ka khoon bahaya gaya hai maqtal me,
payambaro ko rulaya gaya hai maqtal me,
dile rasool dukhaya gaya hai maqtal me..
Husain haay husain -- (8)
zameene garm pa bikhra hua hai khune husain,
faza me sog hai taari hawa b hai bechain,
ye kaisa jashn manaya gaya hai maqtal me..
Husain haay husain--(8)
wo teen roz ka pyaasa wo naade paigambar,
Malaeka k duroodo salam hai jispar,
usi ka khoon bahaya gaya hai maqtal me..
Husain haay husain--(8)
nikal raha hai dhua aur jal rahe hai khayam,
khade hai chate gariba payambarane karam,
nabi ka baazu jalaya gaya hai maqtal me..
Husain haay husain--(8)
sitam ne lashae qasim k kar diye tukde,
gale pa teer chalaya gaya hai asgar ke,
urooje zulm dikhaya gaya hai maqtal me,
Husain haay husain--(8)
pade hai bazue abbas khaake sehra par,
nahi hai aun o mohammad nahi rahe akbar,
har ek charag bujhaya gaya hai maqtal me...
Husain haay husain--(8)
sakina ab na kabi so sakegi raato me,
rahegi yaad e sitam ta hayaat aankho me,
use kuch itna sataya gaya hai maqtal me,
Husain haay husain--(8)
hilal kaise bhulaye bhala wo shame alam,
bayan kaise ho sahil wo dardnakh sitam,
jo ahlebait pe dhaya gaya hai maqtal me
Husain haay husain--(8)
hai aasamano zameen par,
husain ka matam.
Ali k laal shahe mash rakaein ka matam.
Husain haay husain--(8)