Chin gayi rida bandh gayi rasan
- Miscellaneous (2014)
Chin gayi rida bandh gayi rasan!!!!
Chin gayi rida bandh gayi rasan (2)
Dokhtare mushkil kusha hai bekaso lachar
Chin gayi rida bandh gayi rasan (2)
Kisko de sada bint e murtua (2)
Karbala may sab hue shaheed e janisaar
Chin gayi rida bandh gayi rasan (2)
Haye woh shaam e gareeban aur woh zainab ka gham
Jal gaye hain saare kheemay lut gaye hain sab haram
Haye bekasi banke pasban (2)
Abbas ka zainab ada karti rahi kirdaar
Chin gayi rida bandh gayi rasan (2)
Kho na jana ai sakina raat ko ban may kahin
Har taraf laashe padhe hain khoon ugalti hai zameen
Dhal gayi hai raat aao mere pass (2)
Kab se tumko dhoondti hun hoke bekarar
Chin gayi rida bandh gayi rasan (2)
Woh imam e waqt ko bedi pehna kar le chale
Karbala se shaam tak qaidi bana kar le chale
Tauq e khardaar aur bediyaan (2)
Thokarein khate chale hain abid e beemar
Chin gayi rida bandh gayi rasan (2)
Dokhtare mushkil kusha hai bekaso lachar