Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba
- Rehan (2006)
Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)
Khoon rawan kanon se rehta hai azeeyath ke sabab
Neend aati nahi rassi ki azeeyath ke sabab
Aao aakar mujhe seene pe sulalo baba
Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)
Kitna tareek pata hai yeh bayan kaise karun
Saqt pabandi hai rone pe fugaan kaise karun
Khaaq pe baithi hun hun godi may uthalo baba
Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)
Mai hun khamosh mere ashq sazaa dete hain
Aah karti hun to jallad saza dete hain
Mujhko is gham e musibath se nikalo baba
Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)
Waqt e mushkil hai agar ab bhi nahi aaoge
Baad may aaye toh zinda na mujhe paaoge
Tohkarein khati hun girti hun sambhalo baba
Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)
Aisa din tha hai ke amma se mulaqath nahi
Bolti rehti hun khudsar ka koi baaqi nahi
Kuch toh bolo meri faryaad na taalo baba
Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)
Imtehan shimr e layein leta hai chahath ka meri
Dekho phailati hai daaman ko tumhari beti
Apni chahath meri aagosh me dalo baba
Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (2)
Ashq rehaan me aashiq ke bahay jaate hain
Lagta hai abid e beemar ye farmate hain
Apni rooti hui beti ko manalo baba
Mujhko zindaan ki azeeyath se bachalo baba (3)