AA GAYI BINTE ALI
- Miscellaneous (2014)
AA GAYI BINTE ALI
AAGAYI BINTE ALI, BERIDA HAATH BANDHE BHARRE BAZAARON MAIN
JISS NE SOORAJ NAH KABHI DEKHA THA, RO RAHEE HAI WO GUNAH GAARON MAIN
KAUN JAANAY KE YEH HAI KAUN, RASSAN PEHNE HUE
BERIDA ROTEE HAI SAJJAD KE PEECHE CHUP KE
SISSKIYAN DUBI HAIN JISS BIBI KEE
HAI ZANJEERO KI JHANKARON MEIN
HAI ZAHRA TERI KISMAT NA MILA HAQQ TUJH KO
AISEE TAZIM TERI KI HAI MUSALMANON NE
TERA HAQQ MANGNE AAYEE ZAINAB
EK MENOSH KE DARRBARON MEIN
KAHAN ZAINAB AUR KAHAN SHAAM KE LOGON KA HUJOOM
SARR BAREHANA OONCHEE AVAAZ MAINH KHUTBE PADHNA
KHATME MURRSAL KA HAVAALA DE KARR
CHADARE MANGNA BADHKARON MEIN
AAG KHAYMON KO LAGI AUR THE SAJJAD BEHOSH
RORO ABBAS KO DETI THI SADAAEN ZAINAB
LOOT LO CHADARE SAYYEDANIYYON KI
SHOR BARPA THA SITAMGARONH MEIN
KIS TARHA BALI SAKINA RAHE BABA KE BAGHAIR
SOGAYYI CHAEN SE TANHHAEE MEINH ROTE ROTE
HICH KIYYAN DABB GAYI MASOOMA KI
HAI ZINDANO KE DEEVARON MEIN
JISS JAGGA MAJLIS-E-SHABBIR HO BARPA AKHTAR
CHOD KAR DUKHIYA VAHA ROTI HAI ZAHRA AA KARR
BAAL KHOLAY HUE SAAR PEET TI HAI
APNE PYAARON KE AZADAARON MEIN