GUNJTI SHAAME GARIBAAN MEIN

- Hassan Sadiq (2006)


GUNJTI SHAAME GARIBAAN MEIN

 

GUNJTI SHAAME GARIBAAN MEIN YEH ZAINAB KI SADAA, MERA KOI NA RAHA

NA RAHE BHAI NA BETE, CHIN GAYI MERI RIDA, MERA KOI NA RAHA.

 

AASRE DEKE BAHEN CHOD KE AAYI THI WATAN

MERE PARDE KA JISE MAA NE BANAYA THA AMAN

LABE DARIYA MERE GHAZI  KE HUE BAAZU JUDA

 

WOH JO ATHAARA BARAS NOORI HIJABON MEIN RAHA

LAUT KE AAOONGA MAIN JISNE THA SUGRA SE KAHA

HAAYE BARCHI SE KALEJA, MERE AKBAR KA CHIDA

 

MERA GHAZI BHI GAYA QASIM O AKBAR BHI GAYE

HURR SA MEHMAAN BHI GAYA IBNE MAZAAHIR BHI GAYE

KISKO GURBAT MEIN SADAA DOON, KARBALA YEH TOH BATAA

 

MAA NE MAQTAL MEIN JISE DULHA BANAKAR BHEJA

MERE QASIM KA BADAN DASHT MEIN PAMAAL HUA

BAAL KHOLE HUE ROTI, HUI LAASHE SE KAHA

 

WOH SAKINA KE JISE PYAAR THA BABA SE BADAA

BAAD BABA KE MILI JISKO TAMACHON KI SAZAA

BURZ JO ZAALIM NE UTAARE, KHOON AANKHON SE BAHAA