ROZE PE MUSTAFA KE UDASEE SI CHAAYI HAI

- Nadeem Sarwar (1990)


NANA AJEEB SAANAAE HAM PAR GUZAR GAYE, RANJ O ALAM NE GHER LIYAA HUM JIDHAR GAYE
NANA KHUDAA KAI GHAR MEIN NA HUM KO AMAAN MILI, BHAI NE SHEHER CHOD KE JANGAL KI RAAH LI

NANA HAMAIN NA CHAIN MAYASSAR KAHIN HUA, PAANI BHI BANDH HUM PAI LAEENON NE KARDIYA

NANA TUMHARI AAL PAI KYA KYA SITAM HUE, BACHCHE TADAP KEI MAR GAYE PAANI KAI WAASTE

NANA SHAHEED HO GAYE BHAI KAI JAANNISAR, EK EK KAR KE MAR GAYE ASHAB E ZEEWAQAR
NANA BALA KE BAN MAIN QAYAMAT KA RUN PADA, BHAYEE SAI BHAYEE BAAP SAI BETA BICHAD GAYA

NANA ZAMEEN E KARBOBALAA LAAL HO GAYI, QASIM KI LAASH GHODON SE PAAMAAL HO GAYI
NANA KATAA KE SHAANON KO ABBAS MARGAYE, GHURBAT ME BHAAIJAAN KO BE AAS KARGAYE

NANA TUMHARI SHAKL KA FARZAND EK JO THA, KHAA KAR SINA JIGAR ME WO MEHRU BHI CHAL BASA
NANA SHAQI KI TEER SE ASGAR HUA SHAHEED, AISA HUA NA HOGA JAHAAN MAIN SITAM SHADEED

NANA HUSSAIN BEKAS O BE YAAR HOGAYE, AAMADA QATL KARNE KO KUFFAR HOGAYE
TADPE JO ZER KHANJARE BE AAB SHAAHE DEEN, SHIMRE LAEEN KE ZULM SE THARRA GAYI ZAMEEN

NANA HAMARE GHAR KA SAB ASBAAB LUT GAYA, NANA HAMARE SAR PE NA BAAQI RAHI RIDA
NANA HAZAAR TARHA JAFA KI LAEENO NE, KHAIMO ME AAG LAGAADI LAEENO NE

NANA HUI ASEER TUMHAARI NAWASIYAAN, KAUNO MAKAAN ME CHAA GAYI GHAM KI UDAASIYAAN
NANA HARAM HUSSAIN KE BAZAAR ME GAYE, HUM SAR BAREHNA KUFE KE DARBAR ME GAYE

NANA TUMHAARI AAL GAYI MULKE SHAAM ME, POHNCHI ALI KI BETIYAAN DARBAARE AAM ME
NANA HAQEER SAAHIB E TATHEER HOGAYE,HAM LOG SHAHR E SHAAM MAIN TASHHEER HOGAYE

NANA ASEER BARA THE HUM EK THI RASAN, BAANDHE GAYE THAI MISLE GUNAAHGAAR E KHASTATAN

NANA HUM APNE HAAL PE ROTE THE ZAAR ZAAR, NANA HAMAARE ROONE PE HASTE THE BAD SHAIAAR

NANA AJEEB HAAL HAMAARAA THA US GHADI, EK BIBI PICHHE DUSRI BIBI KE CHUPTI THI
US WAQT THARTHARI SI MERE TAN ME PAD GAYI, SAD HAIF HAI ZAMMEN MAIN ZAINAB NA GHAD GAYI

ITNE ME EK SHAAMI NAI NANA GHAZAB KIYA, SAIDANI KU KANEEZI MAIN APNI TALAB KIYA
HOTI THI LAAKH ZILLATEN HUM DEKHTE RAHE, HANS HANS KE TAAZIYAANE SITAM JHELTE RAHE

NANAA TABAAH HOKE HAM AAYE HAIN SHAAM SE, EK DAAGHE NAU SAKINA KA LAAYE HAI SHAAM SE
NANA HAMARE TAN PE NISHAANO KO DEKH LO, AB TAK HAI NEEL RASSI KE SHAANON KO DEKH LO

ZAINAB DIKHA KAI SHANOON KU JAB KARRAHI THI BAYAAN, THARAA RAHAA THA ROUZAE SULTAANE MASHRAQAIN
BAS KHATM KAR NASHAR YE GHAMNAAK DAASTAAN, ROTE HAIN IS ALAM MAIN ZAMEEN AUR AASMAAN