PAAON ME BEDIYAAN PEHNE

- Miscellaneous (2014)


PAAON ME BEDIYAAN PEHNE

 

PAAON ME BEDIYAAN PEHNE HUE BIMAAR CHALA, MERA BIMAAR CHALA

SAR JHUKAAYE HUE SARVAR KA AZADAAR CHALA, MERA BIMAAR CHALA

 

TAUK SE JHAKDA KAHI AUR KAHI DURRO KI SAZA, HAR SITAM SEHTA HUA

DEEN BACHANE KE LIYE DEEN KA SARDAAR CHALA

 

MAA E BEHNE SARE BAZAAR RASAN BASTA HAI, HAAI AASUR DA HAI

BAYN KARTE HUE IS GHAM ME GIRAFTAAR CHALA

 

SAATH HAI AHLE HARAM SAR PE RIDAA E BHI NAHI, ZULM KARTE HAI LAEEN

KHOON AAKHON SE BAHATA HUA KHUDDAR CHALA

 

CHIL GAYE CHAALE LAHU BEHNE LAGA ZAKHMON SE, ASHKE GHAM AAKHON SE

RAAHE PURKHAAR PE SHABBIR KA DILDAAR CHALA

 

BEDIYAAN PAO ME PAD PAD KE BUKA KARTI HAI, YE SADA KARTI HAI

SHAANE ATLAAF LIYE SAHIBE KIRDAAR CHALA

 

TEG KHICHE HUE LAAKHON THE SITAMGAAR MAGAR, PHIR BHI BE KHAUF O KHATAR

MISLE ABBAS ALAMDAAR WO JEEDAR CHALA

 

WARM HAI PAAO ME AUR KHAAK PADI HAI SAR PAR, KYO NA FARYAAD KARE

HAAI KIS HAAL ME WO BEKAS O LACHAAR CHALA

 

EK EK GHAAMB PE AATI THI SADAA E GAUHAR, MARHABA SHEH KE PISAR

DEEN QADMON SE TERE JAANIBE DEEDAR CHALA