HUSAIN AS-SALAAM
- Miscellaneous (2014)
HUSAIN AS-SALAAM
HUSAIN BE-KAFAN, HUSAIN BE-WATAN, HUSAIN BE-KHATA, QATEEL E NAINAWA
Salaam tujpe ali O batool ke pyaare
salaam tujpe khuda o rasool ke pyaare
SULAGTI RET pe teero pe jo kiya sajda
bacha gaya hai shariat ko wo tera sajda
zamana laakh chupaaye teri haqeeqat ko
magar ye sach hai jila tune di shariat ko
tere hi dum se khuda ka kalaam baaqi hai
tere hi dum se mohammad ka naam baaqi hai
yazeed deen ko mitane jo pur fitan nikla
tu sar se baandhe kafan chod kar watan nikla
tujhe na chain se rehne diya madine me
ya zakhm ab bhi buka kar rahe hai seene me
kabhi jo chashme tasavvur gayi hai karb o bala
to maine dasht ka manzar lahu lahu dekha
kisi zaeefa ke maqtal me bain goonj uthe
main tere khushk gale par fida mere bacche
ye wo zaeefa thi jisko batool kehte hai
jigar ka tukda jise khud rasool kehte hai
zamine garm ko baalon se saaf karti thi
tadap ke roti thi aur marsiya ye padhti thi
jafa ke dasht me teeron ki jaa namaaz bichi
aur uspe sibte payambar ne wo namaaz padhi
wuzu lahu se kiya jo ke bandh tha paani
ye wo namaaz hai jiska nahi koi saani
ali ne khuld me rokar roohe hasan dekha
jo tujko dhoond ke jangal me khaimagan dekha
faras ki pusht pe teero pe jab badan dekha
abu turab ke lab par yahi sukhan aaya
jab talak thi wafa zindagi likhi safdar
karega zikr tera teri shayari safdar
har ek bashar per tera aaj hai ye karz husain
ke teri majlis o maatam hai hum pe farz husain