Kaisi Yeh shaam aayi aulaade sayyada par,

- Nasir asghar party (2013)


1.
Ek simt bekafan hai bhai ka uske laasha
Abbas ki behen ka baaki raha na parda
Ab sochti hai zainab dhaake kafan yaa chaadar

2.
Baazu kahin pade hai lasha kahin pada hai
Zainab ki bebasi par ghazi tadap raha hai
Roti hai bekasi bhi farshe aza bichha kar

3.
Jo ghar mei do kadam bhi paidal nahi chali hai
Ek din mei wohi Zainab Abbas ban gayi hai
Khaime se aagyi hai tanha alam utha kar

4.
Sajjad se lipat kar kehti rahi sakina
Ehsaas ho rha hai main ho gayi yateema
Zaalim dara raha hai naiza dikha dikha kar

5.
Laasho ke darmiyaan woh baba ko dhoondti hai
Muh apna peet kar Yeh faryaad kar rahi hai
Kadmo pe hi sula do baba mujhe bula kar

6.
Jab agaye najaf se beti ko milne baba
Zanno pai rakh ke sar yeh kehne lage wo dukhiya
Zainab ujar gayi hai karbobala basa kar 

7.
Khaimon ke sath jula bistar bhi jal giya hai 
Namose Mustufa ko bhagi kaha gaya hai 
Yeh jo lei gaye bezaban ko qaidi hamein bana kar

8.
Guzre ghi kaise yawar maqtal se shahzadi
abid ne raat momin yeh soch kar guzari
zainab ka naam lei gha zalim wo muskura kar 

Kaisi Yeh shaam aayi aulaade sayyada par,
Sajjad ro rahe hai, zainab se muh chhupa kar