Anaa Zainab

- Daste Imamia (iso) (2007)


Anaa Zainab

Sarey darbaar jab Ahle Haram aaye rasan basta yazeed har ek qaidi se yahi has-has ke kehta tha 
meri taakat ne dekho aaj, haqq bar-pa liya galbaa, Mohammad ka zamaaney se, nishaa(n) maine mitaa daala

Sunaa jab ye toh Ahmed ki Nawaasi ko jalaal aaya, khamosh-e-bhaksiyar lafze dile-Zehra ne lalkaara(a), 
zabaa(n) ko de lagaam apni magar na hoga dubaara, rasan basta sahi magar Meri rago(n) mein khoo(n) hai Hydar ka, 
Anaa Zainab X3, Main Zainab Hoon

Husayn ibne Ali faateh hai duniya ko bataa-oongi, yazidi kufr ke chere se Main parda hataa-oongi Anaa Zainab X2, Main Zainab Hoon

Ali ki laad-li hoon Main, Mohammad ki Nawaasi hoon, ta-ruff is liye darbar mein Apna karaa-ti hoon, 
jisey qaidi banaaya tunay duniya ko bataa-ti hoon x2, tera makrooz chera main zamaaney ko dikhaa-oongi. Anaa Zainab, Main Zainab Hoon
Husayn ibne Ali faateh hai duniya ko bataa-oongi, yazidi kufr ke chere se Main parda hataa-oongi Ana Zainab, Main Zainab Hoon

Zamaanay se Mohammad ka nishaa(n) tu kya mitaa-ega, mitega tu zamaanay aur aisi maut paayega,
ke tera naam levaa bhi zamaanay mein naa aayega x2, qayaamat tak tujhe rusvaa zamaanay mein banaa-oongi Anaa Zainab, Main Zainab Hoon
Husayn ibne Ali faateh hai duniya ko bataa-oongi, yazidi kufr ke chere se Main parda hataa-oongi Ana Zainab, Main Zainab Hoon

Jo hai Islaam ke Baani unhe baaghi bataa-ta hai, sikhaaya jisne parda Usko be-parda phiraa-ta hai, 
Mohammad ka Ali ka Fatemah ka dil dukhaa-ta hai x2, tere saarey ma-zaalim saamne duniya ke laa-oongi, Anaa Zainab, Main Zainab Hoon
Husayn ibne Ali faateh hai duniya ko bataa-oongi, yazidi kufr ke chere se Main parda hataa-oongi Ana Zainab, Main Zainab Hoon

Zameen tak hogi aur tu khaakh ke andar samaayega, mazii ek saan(s) lene ki tu mohlat naa paayega, 
na lashkar aur na takh-to taaj phir tujhko bachaaega x2, agar Main bad-dua ko haath ye apne uthaa-oongi, Anaa Zainab, Main Zainab Hoon
Husayn ibne Ali faateh hai duniya ko bataa-oongi, yazidi kufr ke chere se Main parda hataa-oongi Ana Zainab, Main Zainab Hoon

Magar Humko rawaa(n) hai sabr toh Hum sabr karte hai, na hargiz ye samajh na Hum teri taakat se darte hai, 
tere darbaar mein haqq ki sadaa bankar ubharte hai x2, sadaa-e-haqq mein tere zulm ke aiwaa(n) dhaa-ongi, Anaa Zainab, Main Zainab Hoon
Husayn ibne Ali faateh hai duniya ko bataa-oongi, yazidi kufr ke chere se Main parda hataa-oongi Ana Zainab, Main Zainab Hoon

Fanaa jaahil ko hai ba-taur aadil ko baqaa dena, zamaanay mein rahega tu na takh-to-taaj ye tera, 
magar taa-hashr duniya mein Husayn ibne Ali hoga x2, dil-on mein yaad Apne Bhai-i ki main yu basaa-ongi, Anaa Zainab, Main Zainab Hoon
Husayn ibne Ali faateh hai duniya ko bataa-oongi, yazidi kufr ke chere se main parda hataa-oongi Ana Zainab, Main Zainab Hoon