ya elahi mujhe abbas sa beta
- Meesum Abbas (2010)
(Sakhi Abb
(Sakhi Abbas Jari Ya ilaahi mujhe de) x2
Ek jari chaahiye taarike shujaa'at ke liye, Karbala mein mere Shabbir ki nusrat ke liye
Aur na munh se payambar ki hifaazat ke liye, Ya ELAAHI mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Shukr sad shukr tera shabbar-o-shabbir diye, Betiyaan ki hai ata zainab-o-kulsoom mujhe
Baad iske meri bas ek dua ke badle, Ya ELAAHI mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Aaina sabr-o-shujaat ka bana na mera, Hu bahu meri hi tasweer ho baccha mera
Usko dekhoon to nazar aaye sarapa mera, Ya ELAAHI mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Koi be-yar-o-madadgaar agar hojaye, Iltaja behre madad apni zabaan par laye
Mujko awaaz koi de wo madad ko aaye, Ya ELAAHI mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Zindagi jiski guzar jaye alamdaari me, Apne baazoo bhi kata de jo fidakaari me
Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me, Ya ELAAHI mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Naam uska ho jin hoton pe wahan pyas na ho, Koi umeed na toote koi be aas na ho
Yaad karke use tanhai ka ehsaas na ho, Ya ELAAHI mujhe abbas sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Mere maalik mere honthhon pe jab aayi ye dua, Meri aankhon mein nazar aane lagi Karbobala
Mera Shabbir musibat mein kharaa hay tanhaa, Ya ELAAHI mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Jab woh karbal mein ho chawbhees pehel ka pyaasa, Har kadam par use isaar ka jazba dena
Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna, Ya ELAAHI mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3
Ay "kaleem" ho gayi maqbool duaa-e-Haidar, Usko "Mesum" kaha hai Fatema Zehra ne pisar
Arzu ki thi Ali ne jo huzur-e-daawar, Ya ELAAHI mujhe Abbas-sa beta dede
(Jab mere ghar mein Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3