Ye kehti thi Sakina, Abbas nahi aaye

- Miscellaneous (2014)


 

Ye kehti thi Sakina, Abbas nahi aaye

 

Ye kehti thi sakina, abbas nahi aaye,  

Pani ke liye teri, Abbas nahi aaye,

 

Dekhaa ke alam aaya, ummeed thi ye dil me, Pilwaungi in sabko,

Abbas nahi aaye,

Baaba ki kamar tuti, kya wajha ye na samji, Dekhaa ke alam aaya,

Abbas nahi aaye,

Shaanose judaa aaye, do haat ye tumhare, Ranme pare hai mushk ko,

Abbas nahi aaye,

Ban saaka-e-sakina, lene chalaa wo pani, Phir aaye na darya se,

Abbas nahi aaye,

Paani ki pilane ka, tumhe kiya tha waada, Wo ho na saka tum se,

Abbas nahi aaye,

Tha sabki dilme paani, khayme me jo ayega, Pilwaungi bacho ko,

Abbas nahi aaye

Roro ke puchtithi, baali sakina sab se, Baba to alam laaya,

Abbas nahi aaye

Dekho chamak rahaa hai, panjaa alam ka hay hay, Kis wajha se ay baba,

Abbas nahi aaye

Phir nane hath utaakar, baali sakina boli, Ya rub tu juld madad kar,

Abbas nahi aaye