Ayna Mustufa
- Ali Safdar (2004)
Ayna mustafa
(Ya Mustafa, Ya Murtaza, Ya Fatema, Ya Fatema) x2
aina Mustafa, aina Murtaza, aina Fatema, ai fatema zahra, ai shehzaadie-e-kounain, ai maadare hussein, aayie aur dekhiye phir ek nayi karbala, saj rahi hai, phir dashte karbala par, kisi mazlum ka khun bahaa, phir kisi maasum, shesh maah ke gale par zakhm laga, aina Mustafa, aina Murtaza, aina Fatema, phir kisi ke liye jawaan ke sine pe barchi ka zakhm laga, ai farzande zahra, ai imame zamaana, inteqaame karbala ke liye, zahoor pharmaaie
Aina Mustafa, Aina Murtaza, Aina Fatema, maadare hussein
- Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
- Phir Yazidi ke fikr ho rahi hai aam, dilse uth na jaae tera ehteraam, ai mere khuda, rabbe subho shaam, ab to bhej de barwaa imaam
- Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
- Ai mere imaam fatema ke laal, dekhte hai aap ehle haq ka haal, kaise muztarib, kitne purmalaal, sabke lab pe hai, ek hi sawaal
- Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
- Kitni tankh hai aaj ki fazaa, yaad aa gayi jehde karbala, who muqaabila, jabro sabr kaa, phir yazid hai, darpaae jafaa
- Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
- Ab ye samje log kya thi karbala, dushmane hussein laakh ashkiyaa, phir bhi shaah ka sar na juk saka, ham usi ko aaj dete hai sadaa
- Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
- Wangki zad pe hai zist ka chaman, jal rahe hai shehr puk rahe hai ban, karbala najaf, sab shikastatan, al madam imam, ai shahe zaman
- Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
- Ab magar kahan lashkare husein, hochuke shaheed, yaware husein, sar barehna hai, khwahare husein, kisko de sada dukhtare husein
- Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
- Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
Ya Mustafa, Ya Murtaza, Ya Fatema, Ya Fatema