Haan Tha Mera Baba
- Nadeem Sarwar (1990)
Suno ke likhta hu mai dard naak wo manzar
the ek rasan me gale baara aur barehna sar
jab aayi shaam ke darbaar mein garida jigar
padi sakina pe nagaah us shaqi ki nazar
yazeed naam tha jiska sajaa ye tha darbaar
liye tha god me dukhtar ko apni wo makkar
wo apni bachhi ke baalo mei haath pherta tha
laga ke seene se bachi ko pyaar se dekha
lehek ke baali sakina se wo shaqi bola
tujhe bhi baba tera aise pyaar karta tha
kaha sakina ne, mai shahe dee'n ki pyaari hu
tabaah haal hu, is dum dukho ki maari hu
tu mere baba ka gandi zubaa'n se naam na le
ghuroor itna na kar baandh kar rasan mein hume
mai kitni pyaari thi baba ki kya batau tujhe
mai bhool sakti nahi apne baba ko marke
mai jab bhi roti thi baba mujhe manata tha
banake hatho'n ko jhula mujhe jhulata tha
haan.. tha mera baba
1. Mai seene pe soti thi
taskeen si hoti thi
maa banke mujhe jisne
aaghosh me paala tha
2. Kya puchta hai mujhse
khud puchle baba se
sar tasht mein rakha hai
wo khud hi bata dega
3. Mai kitni dulari hu
go dard ki maari hu
gar unko bulau mai
sar god mein aayega
4. Kyu mujhko rulata hai
aisa kahi hota hai
bin baap ki bacchi ko
dete hai dilasa
5. Teri bhi to beti hai
godi mein jo baithi hai
tu dekh use zalim
phir dekh mera chehra
6. Abbas agar hote
kunbe ko mere kaise
tu baandh ke rassi mein
darbaar mein laata
7. Ye kurta fata mera
jo khoon mein hai dooba
abbas jo dekhenge
ek hashr bapa hoga
8. Chalta na agar khanjar
shabbir ki gardan par
hum qaid nahi hote
akbar na sina khaata
9. Ye khaak aseeri ki
chehro pe nahi hoti
baba mera sajde mein
gar sar na kata ta
10. Mai seene pe soti thi
taskeen si hoti thi
maa banke mujhe jisne
aaghosh mein paala tha