Toot gayi aas meri toot gaayi aas

- Nadeem Sarwar (1990)


Akbaro bab hai gaye nehr kinare (2)
Are amma mera qalb jala pyaas ke mare
Haye pyaas ke mare
Doobte jaate hai mere dil ke sahare

Abbas bohot kuch se tha zainab ko sahara
Haaey aab koi nahi alame gurbat mei hamara

Tumse to dharas si mujhe mere beradar
Baba ka farman hua aab tu mukaddar
Hua aab tu mukaddar
Cheen ke lejayenge ada meri chadar

Tum sharm se khaime mei bhi aye na biradar
Haaye sheh llaye the jab laasha e qasim ko utha kar

Qatl hua ibne hassan mei hhui be aas (2)
Aaye natum dene ko pursa bhi mere paas
Pursa bhi mere paas
Are hota hai aab tere haya daari ka ehsas

Tune mujh mehroomi mei kya shaan ata ki
Haaye kulsum ko tadpayengi taa umer judaai

Aashur ki shab teri wafa nakhsh hai dilpar (2)
Array kya kehke tujhe roye kare nala yeh khwahar
Haaye nala yeh khwahar
Array aab tuhi bata de mujhe aye mere biradar

Asgar ki na jab dekhi gaayi tashan dahani
Maine di tassaalli use aane ko hai paani

Re banu e shabbir bohot tumpe thi naadan (2)
Re pyaasi hi magar jayega ab asgher nadaan
Haye asghere naadan
Haaye ghar ke ujad jaane ka bhi hogaya samaan

Baarat bhatijiki chacha jaayenge lekar
Array is aas mei atthara bars pala tha akbar

Tukde huwa sab hasrato armaan ka kaleja (2)
Hai armaan ka kaleja
Kya dekhte hi dekhte hogaya bhayya

Sheh kehte the baaki na alamdaar na laashkar
Array zainab ye badhado alam e dilbar e haider

Woh sina zani aur qayamat ka tha girya (2)
Sar peet te the zere alam dilbare zehra
Hai dilbare zehra
Haaye sukhe hue hoton pe tha purdard ye nawha