Nana aye mere nana, main aagayi madina

- Meesum Abbas (2009)


Ro ro ke pukari nana ki dulari (x2)

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x3)

Sughra se kya kahoongi, mushkil hai mera jeena

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

2) Apni rida lutake (x2), khutbe suna sunake (x2)
Apni rida lutake, khutbe suna sunake
Deewar zulm dhaake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

3) Balwe may thi khule sar (x2), be pardagi ke patthar (x2)
Balwe may thi khule sar, be pardagi ke patthar 
Kha kha ke ashkiya se, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

4) Zindaan tha andhera (x2), chaaron taraf tha pehra (x2)
Zindaan tha andhera , chaaron taraf tha pehra
Aankhon se khoo bahake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

5) Aayi nahin Sakina(x2), phatt tha hai mera seena (x2)
Aayi nahin Sakina, phatt tha hai mera seena
Usko wahin sulake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

6) Noke sina pe sar the(x2), hum log nauhagar the (x2)
Noke sina pe sar the, hum log nauhagar the
Farshe azaa bichake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

7) Sajjad natawan tha(x2), aankhon se khoo raha tha (x2)
Sajjad natawan tha, aankhon se khoo raha tha
Bimaar ko bachake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

8)  Bazu pe khastatan ke (x2), ye daag hai rasan ke (x2)
Bazu pe khastatan ke, ye daag hai rasan ke
Nana sitam utake, mai aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

9) Tukde chune badan ke(x2), Kassim bine Hassan ke(x2)
Tukde chune badan ke, Kassim bine Hassan ke
Dulha usse banake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

10) Matti ko karbala ki(x2), ye aapki nawasi(x2)
Matti ko karbala ki, ye aapki nawasi
Khak-e-shifa banake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

11) Atthara bhaiyon ki (x2), haye haye behen thi qaidi (x2)
Atthara bhaiyon ki, haye haye behen thi qaidi
Qaid e sitam nibhake, main aagayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

11) Meesum baroze mehshar (x2), Rehan binte haider (x2)
Meesum baroze mehshar, Rehan binte haider
Zainab kahegi aake, main aa gayi madina

Nana aye mere nana, main aagayi madina (x2)

main aagayi madina (x3)