Beemar se taboot e sakina na uthega

- Zaigham Abbas (2013)


Haye sakina (4)

Jab marge sakina hui zindaan e mahan may
Kurta bhi shahadath ko gaya saath kafan may
Rokar kaha abid ne ke taqath nahi tan may
Ya shah e huda khaak pe kya sote ho ban may

Laachar hun mai daag e hazeena na uthega
Beemar se taboot e sakina na uthega(2)

Taqdeer ne sa ath ye mujhe kaisi dikhayi
Sunlo ai mere baba ye bete ki duhayi
Tumne lehad e asghar e besheer banayi
Qahar thi lahad kaise banaye koi bhayi

Laachar hun mai daag e hazeena na uthega
Beemar se taboot e sakina na uthega(2)

Abbas chacha tumko bulati hai sakina 
Zindaan may hum sab ko rulati hai sakina
Ab apni kahani na sunati hai sakina 
Ghar walon ko ab chod ke jaati hai sakina

Laachar hun mai daag e hazeena na uthega
Beemar se taboot e sakina na uthega(2)

Akbar tum hi iss qaid e bala may chale aao
Tum apne bade bhai ka kuch haath batao
Zanjeer se azaad mere haath karao 
Qahar ke janaze ko mere saath uthao

Laachar hun mai daag e hazeena na uthega
Beemar se taboot e sakina na uthega(2)

Ay bhaiyya mere ay mere masoom se asghar
Baba ne sulaya hai tumhe qabr ke andar
Bus tumse yahi kehta hai ab abid e muztar 
Dadi ko suna do mera paigham ye jakar

Laachar hun mai daag e hazeena na uthega
Beemar se taboot e sakina na uthega(2)

Qasim mai tumhe kaise bulaun mere bhaiyya
Maqtal may hai khud laasha e pamal tumhara
Sunlo k ye hai qaidi e mazloom ka nauha 
Zindaan may rakha hai sakina ka janaza

Laachar hun mai daag e hazeena na uthega
Beemar se taboot e sakina na uthega(2)

Dekhein phuppi zainab ka zara haal ay baba
Godi may liye baithi hain woh laashe sakina
Iss manzar e dilgoho se dil phat tha hai mera
Woh roti hai jis waqt mai karta hun ye nauha

Laachar hun mai daag e hazeena na uthega
Beemar se taboot e sakina na uthega(2)

Majid koi sochen zara uss waqt ka aalam
Kis tarha lehad bachi ki khodi gayi uss dum
Uss waqt toh saidaniyon ka haal tha bargham
Jab nauha sunate the ye abid e zaigham

Laachar hun mai daag e hazeena na uthega
Beemar se taboot e sakina na uthega(2)