WO SHEHENSHAAHE ZAMAN JISKO KAFAN BHI NA MILA
- Busheri (1990)
WO SHEHENSHAAHE ZAMAN JISKO KAFAN BHI NA MILA
HOTE REHTE THE JISE HULLA-E-FIRDAUS ATAA
WO SHEHENSHAAHE ZAMAN JISKO KAFAN BHI NA MILA
WO MOHAMMAD KA NAWAASA WO HUSAIN IBNE ALI
GULSHAN-E-FATEMA ZEHRA KI WO MAASOOM KALI
NAAM HAI PANJETAN-E-PAAK ME BA HARFE JALI
HURMATE DEEN-E-KHUDA JISKI SHAHAADAT ME DHALI
JHULA JIBREEL NE BACHPAN ME JHULAAYA WO HUSAIN
DOSH PAR JISKO PAYAMBAR NE BHITHAAYA WO HUSAIN
JISPE QURAAN KE PAARO KA THA SAAYA WO HUSAIN
PAANI DIL KHOL KE DUSHMAN KO PILAAYA WO HUSAIN
HAAE USS BEKASO NAADAAR KO PAANI NA DIYAA
DASHT ME GHER LIYA JISKO BULAAKAR MEHMA
SAAMNE JISKE TADAPTA RAHA AKBAR SA JAWAA
KHECHLI JISNE JAWAA BETE KE SINE SE SINAA
JISKO HAATHO PE HUWA KATL PISAR GUNCHA DAHAA
AAKHRI NAASIR-E-MAZLOOM BHI JISKA NA RAHA
KHOOB ROTE HAI JO APNA KOI MAR JAATA HAI
LAASHAA BE WAALIYO WAARIS KA KAFAN PAATA HAI
AUR TARAS KHAAKE USE KOI BHI DAFNAA TA HAI
TAAZIYAT KI LIYE DUSHMAN BHI CHALAA AATA HAI
HAAE AFSOS JIGAR GOSHA-E-MEHBOOB-E-KHUDA
HAAE PAAMAAL HUI LAASHE HUSAIN IBNE ALI
BHAI KI LAASH PE MAZLOOM BEHEN RO NA SAKI
LAASHE URYAA PE LAHOO CHASHME FALAK ROTI THI
KALMA PADHTE THE PAYAMBAR KA AUR HASTE THE SHAKEE
LASH PAR JAM TI THI KHAAK AUR YE DETI THI SADAA
PARCHAME HAZRAT-E-ABBAS UTHAANE WAALE
RAHE AABAAD AZAA KHAANE SAJAANE WAALE
AUR SALAAMAT RAHE NAUHO KO SUNAANEWAALE
GAME SARWAR ME HAI JO ASHK BAHAANE WAALE
FATEMA ZEHRA UNHE KHULD SE DETI HAI DUA
ZIKRE MAULA ME KALAM ROK NA APNA MEHSHAR
DEKH ZAINAB KE NAHI SAR PE ABHI TAK CHAADAR
PURSA DETA RAHE ASHAAR SE SHEH KA MEHSHAR
RAKH TASAWWUR ME KE HAI DASHT ME LAASHE SARWAR
LAASHE URYAA KO UDHAATA RAHE NAUHO KI RIDAA