ABBAS ABBAS ABBAS YA BUL FAZLIL ABBAS
- Busheri (2014)
ABBAS ABBAS ABBAS YA BUL FAZLIL ABBAS
ABBAS ABBAS ABBAS YA BUL FAZLIL ABBAS
TU HAI SHABBIR KI AAS, YA BUL FAZLIL ABBAS
AAJ DARYAAO KI MAUJO ME HAI MAATAM BAAKI
TERE HI DAM SE HAI ISLAAM KA PARCHAM BAAKI
TU HAI SHABBIR KI AAS
PEHLE TUM JAAKE SAKINA KO TO SAMJHAAO HUSAIN
LASHA ABBAS KA KHAIME ME NA LE JAAO HUSAIN
AUR BADH JAAEGI PYAAS
MAUJE RUK JAAO KE ABBASE JARI AATE HAI
BOLI TALWAAR KE KHAIBAR KE ALI AATE HAI
HAI SHAHADAT KA LIBAAS
KAT GAE BAZU TO TU JAAFARE TAYYAR BANA
CHID GAE MASHK TO PYAASO KI ALAMDAAR BANA
PEHEN KAR KHOON KA LIBAAS
NEHER NE YAAD KIYA AAO AY SAKKAAE HARAM
GAAD DO PAANI ME TUM SIBTE MOHAMMAD KA ALAM
RAUZA JO DARYA KE PAAS
AY ALAMDAARE HUSAIN IBNE ALI HAQ KI KASAM
KOI KHAA SAKTA NAHI HASHR TALAK TERI KASAM
TERE HAI NAAM ME JALAAL
SHAHE NUSRAT NE KAHA AY MERE SALAAR UTHO
AAKHRI BAAR TO TUM BHAI KO BHAI KEHDO
POORI HO JAAEGI AAS
AYSA MAUJIZA TO HUMNE NAHI DEKHA KOI
RAUZE PAR SE TERE UDD SAKTA PARINDA KOI
TERE GUMBAT KE HAI PAAS
EK ARMAAN HAI SULTAAN KARBALA JAOO
JAB TIKHAANE SE LAGOO TERA THIKAANA PAOO
UMR BHAR KI HAI YE AAS
JAAKE SAAHIL PE BHI ABBAS NE PAANI NA PIYA
KHUD KINAARE NE BEHESTI KE KADAM CHOOM LIYA
HO GAYA DARYA UDAAS
PAANI KE NAAM SE ABBAS KI YAAD AAYEGI
TA QAYAAMAT TERI TASBEEH HI PADHI JAAEGI
ABBAS ABBAS ABBAS