Ya zehra
- Daniyal (2015)
Ya fatema, ya sayyada, khairun-nisa, mahruma
Ya zehra zehra zehra (4)
Rote dilo ki ye hai sadaa (3)
Kyu zulm tujhpe itne hua ….
Ya zehra zehra zehra (4)
Umme abiha ye to bataa
Kyu zulm tujhpe itne hua ….
Ya zehra zehra zehra (4)
1. Mar ke bhi ab tak tu hai bechain,
tera sabar hai sabre hussain (2)
Tera sisak naa zainab ke bain
Teri tarah chup zainul abaa
Ya zehra zehra zehra (4)
2. Milti nahi koi aisi misaal ,
kyu hai rulaayi ahmad ki aal (2)
Hai ehtetaaj mera sawaal
Kyu tere ghar ko jalaa diya
Ya zehra zehra zehra (4)
3. Ro roke guzri teri har raat,
kaise bayaa ho tere halaat (2)
Mar ke bhi pehlu pe tha ek haath
Dekhe ali ne to ro diya
Ya zehra zehra zehra (4)
4. Teri sanad ke tukde kiye,
tere gawaah bhi jhutlaa diye (2)
Tu ro rahi thi sab has diye
Ummat ne tujhko haq na diya
Ya zehra zehra zehra (4)
5. Har ek laasha hai bekafan,
har ek bibi pehne rasan (2)
Taazaa lahu me dube badan
Khoon me rangee'n karbobala
Ya zehra zehra zehra (4)
6. Nahi hasan ka, tera kamala,
warna kalam tha mere nihaal (2)
Jo nauhe padhta hai daniyal
Tere karam ki hai intehaa
Ya zehra zehra zehra (4)
Rote dilo ki ye hai sadaa
Kyu zulm tujhpe itne hua ….
Ya zehra zehra zehra (4)
Umme abiha ye to bataa
Kyu zulm tujhpe itne hua ….
Ya zehra zehra zehra (4)
Ya fatema, ya sayyada ,khiarun-nisa , mahruma (3)