Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon
- Syed Raza Abbas Zaidi (2015)
Sheh ne farmya (3) farmaya….sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)
Tumne jo is tarah mujhe , ghera hai kufiyon
Farmaya….sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)
Mai bewatan garib nawasa rasul ka
Mere badan me khu aliyo batul ka
Kya maine dil kisiska dukhaya hai kufiyon
Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)
Tumne mere jawaan ko maaraa mai chup raha
Pehra labe furat lagaya mai chup raha
Paani dikha dikha ke giraaya hai kufiyon
Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)
Taswir e murtaza wo alamdaaar e karbala
Bebast hoke khaak pe ke jis waqt gir padaa
Tumne meri Kamar ko jhukaayaa hai kufiyon
Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)
Gar jang ke iraade se aataa mai karbala
Bacho ko saath kis liye lata hai karbala
Mujhko kadam kadam pe rulaya ahi kufiyon
Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)
Apne watan ko chhod ke jata nahi koi
Aaraam chain apan gawaata nahi koi
Khat bhej bhej ke jo tumne bulaya hai kufiyon
Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)
Paani ki jaisi chiz mayassar nahi mujhe
Tum farze mezbaani na ek din nibha sake
Asgar ko aabe pilaya ahai kufiyon
Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)
Sehmi hui sakina hai manzar ye dekhkar
Khu uski baaliyon pe jamaaye hue nazar
Tu mujhko zinda laash banaya hai kufiyon
Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)
Khanjar tale hussain the rehan aur raza
Aawaz e irjae this are maktal e jafaa
Bole hussain rudbaa jalayaa hai kufiyon
Farmaya sheh ne meri , khata kya hai kufiyon (2)