Mere haath nahi hai

- Syed Raza Abbas Zaidi (2015)


Haaye jab haath kalam ho  chuke , abbas jari ke

Nauha hussain karte hue , ye dast me pahuche

Saase ali aati … alamdaar ye bole me rou  me Ziyaarat ka salaame akhir hai

Ek aankh me lahu hai bhara , ek mai teer hai.

Aqa mere maula (2)

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai  mere haath nahi hai

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai  mere haath nahi hai

Paon nhi chu sakta mere haath nahi hai mere haath nahi hai

Mai kaise uthu mere haath nahi hai mere haath nahi hai

 

Aqa ye gulaami ka sila kaisa diya hai

KIs pyaar se sar aapne zaanu pe rakha hai

 Uthkar salaam karta

Mere haath nahi hai (2)

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai mere haath nahi hai

 

Jo haath tere kaam na aye mere maula

Bachpan me hi kat jate to hota bohot acha

Tum inko nahi chuna

Mere haath nahi hai (2)

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai mere haath nahi hai

 

Aazae badan tum ho to paikar nahi hota

Na zor pe gharwala bhi muztar nahi hota

Ghar mujhko na le jana

Mere haath nahi hai (2)

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai mere haath nahi hai

 

Dil rota hai marte hue , kaabe adabi hai

Jin haatho ke katno se kamar sheh ki jhuki hai

Sidhi nahi kar sakta

mere haath nahi hai (2)

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai mere haath nahi hai

 

Bhaari hai alam tum na uthao ise maula

Tuti hai qamar dekhiye tanha na uthaega

Aqa hu mai sharmunda ,

mere haath nahi hai (2)

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai mere haath nahi hai

 

Godi mai sakina ko uthauga mai kaise

Kis tarah nibhauga ghulaami ke tarike

Ye kam to nahi sadma

Mere haath nahi hai (2)

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai mere haath nahi hai

 

Mai zaamin e chaadar tha , muhaafiz tha haram ka

Ab zinda bhi reh jaau to kya faaydaa aqa

Zainab ko bata dena

Mere haath nahi hai (2)

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai mere haath nahi hai

 

Jab zeel se zamin ki taraf aane laga maula

Na koi madadgaar tha , na koi sahara

Us  waqt khyal aya

Mere haath nahi hai (2)

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai mere haath nahi hai

 

Ye nauha e ghazi sare majlis jo raza hai

Rehan e raza kehta hai ye maujiza kya hai

Ye haath hau ghazi ka

Mere haath nahi hai (2)

Mai kaise uthu , mere haath nahi hai mere haath nahi hai