Rondi reh gayi sugra
- Syed Raza Abbas Zaidi (2015)
Rondi reh gayi sugra , apne baba nu (2)
Baba safar me tumko sugra na yaad ayi (2)
Aangan ko apne chhoda (4) basti nahi basaayi
Baba safar me tumko sugra na yaad ayi , baba safar me tumko
Haaye raaho ki dhul mujse kehti ja rahi thi
Koi nahi aya lene ,bas maut aa rahi hai
Bas maut aa rahi hai , koi na aya lene
Tumne kiya tha wada (2)
Ayega lene bhai
Baba safar me tumko sugra na yaad ayi , baba safar me tumko
Hota hai jab bhi khattka lagta hai mujhko baba
Qaasid jawaab lekar shayad tumhara aya
Shayad tumhara aya , qaasid jawaab lekar
Ummeed koi lekin (2)
Puri na hone paai
Baba safar me tumko sugra na yaad ayi , baba safar me tumko
Shikwaa hai mujhko tumse , akbar se bhi gila hai
Haa agar lene na aye, itna to puch lete
Itn ato puch lete , lene agar na yae
Zinda hai ya watan me (2)
Sugra ko maut ayi
Baba safar me tumko sugra na yaad ayi , baba safar me tumko
Bimaar hu mai kitni , amma ye jaanti thi
Baba phuphi bhi mujhse chhup chhup ke ro rahi thi
Chhup chhup ke ro rahi thi , baba phuphi bhi mujhse
Na yaad bhi kisi ne (2)
Tumko meri dilaayi
Baba safar me tumko sugra na yaad ayi , baba safar me tumko
Ammu bana rahe the , akbar ko jab ke dulha
Maa ne nazar utaari , maatha phuphi ne chuma
Maatha phuphi ne chuma , maa ne nazar utaari
Jab tumne uski shaadi (2)
Pardes me rachaai
Baba safar me tumko sugra na yaad ayi , baba safar me tumko
Hujre me jab sakina asgar se khelti hai
Phunkaariyon pe uski hasti hai khilkhilaake
Hasti hai khilkhilaake, phunkaariyon pe uski
Meri kami tumhe na (2)
Mehsus na hone paai
Baba safar me tumko sugra na yaad ayi , baba safar me tumko
Jab raat ko sakina sine pe soti hogi
Sone se pehle aakar jab tumse karti hogi
Jab tumse karti hogi, sone se pehle aakar
Kehti to hogi sugra
Kyu ab talak na aai
Baba safar me tumko sugra na yaad ayi , baba safar me tumko
Aya samar jo sheh ka , malbus khu me dooba
Boli raza wo rokar , baba ka thaame kurta
Baba ka thaame kurta , boli raza wo rokar
Kyu tumse pehle baba (2)