Amma gawah rehna
- Syed Raza Abbas Zaidi (2015)
Haaayee hussain bewatan (2) khanjar tale hu pyaasa, bhai raha na beta ,ay waarise rukaiya nana se jaake kehna , maine nibhaya waadaa
Ammaa…..haaaye
Amma gawah rehna (6)
Khanjar tale bhi dekho sajde me sar hai mera
Nau laakh qaatilo ne tanha samaj ke ghera
Wada nibha raha hu
Amma gawah rehna (4)
Che roz ho gaye hai mujhe paani na mila
Akbar ki naujawaani ,asgar ki bezubaani
Sehra me kho chukka hu
Amma gawah rehna (4)
Tiro ne chhaan daalaa , amma mere badan ko
Kitna garib hu ab mohtaaj hu kafan ko
Halat baadshaah hu
Amma gawah rehna (4)
Jalti hui zaameen par tiro ka hai bichona
Is haal me na dekhe mujhko meri sakina
Tiro pe so raha hu
Amma gawah rehna (4)
Kuch der pehle amma asgar ko dafn karke
Bano ko jab khabar di , ankho me ashk bharke
Khud laash ban gaya hu
Amma gawah rehna (4)
Sine se naujawan ke kaise nikaale barchi
Barchi ke saath amma , meri bhi saas tuti
Binaai dhundta hu
Amma gawah rehna (4)
Aap aye hai sunaane , naade ali sunaane
Mujhko talab kiya hai , amma mere khuda ne
Jaake me jaa raha hu
Amma gawah rehna (4)
Rehan aur raza ki jo naukri hai amma
Zakhmo ka tere marham nauha jari hai amma
Mai unko chahta hu
Amma gawah rehna (4)
Haaaye hussain bewatan (2)