Alwida Maalike mashrakein alvida
- Miscellaneous (2014)
Alwida Maalike mashrakein alvida
Roke zainab yeh karti thi bain Alvida
1)
Bhai kya kehke bewo'n ko samjhaaungi
Sar khule kaise darbaar mein jaaungi
kaise bali sakina ko beh laaungi
mere maajaaye tumko kaha'n paaungi
2)
Bhai tum thokarein rann me khate rahe
Laashe maida'n se khaime me laate rahe
Har tarha deene haq ko bachate rahe
Apni manzil ke nazdeeq aate rahe
3)
Ab woh besheer ki bezubaani kahaan
akbar-e-naujawaa'n ki jawaani kahaan
Ab woh abbas ki paasbaani kahan
Allahtash ki sadaayein hain paani kahaan
4)
Aao tumko gale se lagaye behan
Aao bhaiyya ke qurbaan jaaye behen.
Kaun baaki hai kisko bulaaye behen
Aao ghode pe khud hi bithaye behen
Alwida...
5)
Aaj akbar ki mayyat pe main ro chuki
haat afsos abbas se dho chuki
kisko kisko kahu sabko main kho chuki
Bhai ab zulm ki intehaa ho chuki
6)
Rann se halmin ki ye naagahani sada
Choor zakhmo se hai ye badan shaah ka
Haye 'aazam' huwi zulm ki inteha
Kat gaya shahe bekus ka sukha gala