Badan qaasim ka tukde hai

- Imran Mehdi (2015)


HAAYE QAASIM(AS) HAYE HAYE QAASIM(AS)..(2)

BADAN QAASIM(AS) KA TUKDE HAI JAWAANI GHAM MANAATI HAI AJAL AANSU BAHAATI HAI..(2)
KAFAN SHAADI KA JODA HAI DULHAN SADME UTHAATI HAI AJAL AANSU BAHAATI HAI
HAAYE QAASIM(AS) HAYE HAYE QAASIM(AS)
..(2)
BADAN QAASIM(AS) KA TUKDE HAI JAWAANI GHAM MANAATI HAI AJAL AANSU BAHAATI HAI

1) HUA DULHA LAHU PAIKAR HAIN BARATI BHI KHOO'N ME TAR
KAHAA'N SEHRA KAHAA'N MEHENDI CHHUPE SAB KHAAK K ANDAR
HUI YE KAISI SHAADI HAI JO AB TAK KHOO'N RULAATI HAI
AJAL AANSU BAHAATI HAI
HAAYE QAASIM(AS) HAYE HAYE QAASIM(AS)
..(2)
BADAN QAASIM(AS) KA TUKDE HAI JAWAANI GHAM MANAATI HAI AJAL AANSU BAHAATI HAI

2) HASAN(AS) KI YAAD ME PAIHAM HAIN AANKHE SHAAHE DEE'N KI NAM
NISHAANI BHAI KI HAAYE ZAMI'N PAR TODTI HAI DAM
NAZAR MAQTAL ME BHAI KI UNHE TASVEER AATI HAI
AJAL AANSU BAHAATI HAI
HAAYE QAASIM(AS) HAYE HAYE QAASIM(AS)
..(2)
BADAN QAASIM(AS) KA TUKDE HAI JAWAANI GHAM MANAATI HAI AJAL AANSU BAHAATI HAI

3) ABHI TO PHOOL SEHRE K NAHI DULHE K MURJHAAYE
K DUNIYA SE CHALA DULHA QAYAAMAT HO GAI HAAYE
SADA MAATAM KI JO UTTHHE FALAK KO WO BULAATI HAI
AJAL AANSU BAHAATI HAI
HAAYE QAASIM(AS) HAYE HAYE QAASIM(AS)
..(2)
BADAN QAASIM(AS) KA TUKDE HAI JAWAANI GHAM MANAATI HAI AJAL AANSU BAHAATI HAI

4) HAR IK TUKDE KO CHUN CHUN KAR FUGHAA'N KARTE HAIN YU SARWAR(AS)
YE GATHRI ME TERA LAASHA SAHEGI KIS TARHA MAADAR
K FARWA K TASWWUR SE HAMAARI JAAN JAATI HAI
AJAL AANSU BAHAATI HAI
HAAYE QAASIM(AS) HAYE HAYE QAASIM(AS)
..(2)
BADAN QAASIM(AS) KA TUKDE HAI JAWAANI GHAM MANAATI HAI AJAL AANSU BAHAATI HAI

5) PADHI TEHREER BHAI KI IJAZAT RAN KI DE DI THI
JO IK TAAWEEZ KI SURAT TERE BAAZU SE LIPTI THI
WOHI TEHREER AB DIL PAR MERE NASHTAR CHALAATI HAI
AJAL AANSU BAHAATI HAI
HAAYE QAASIM(AS) HAYE HAYE QAASIM(AS)
..(2)
BADAN QAASIM(AS) KA TUKDE HAI JAWAANI GHAM MANAATI HAI AJAL AANSU BAHAATI HAI

6) JIGAR TUKDE HASAN(AS) KA THA JO ZAINAB(SA) NE BHI THA DEKHA
WAHI MANZAR HAI MAQTAL ME BADAN TUKDE BHATIJE KA
MUSALSAL YAAD MAAZI KI BAHOT DIL KO DUKHAATI HAI
AJAL AANSU BAHAATI HAI
HAAYE QAASIM(AS) HAYE HAYE QAASIM(AS)
..(2)
BADAN QAASIM(AS) KA TUKDE HAI JAWAANI GHAM MANAATI HAI AJAL AANSU BAHAATI HAI

7) BHALA "SALMAN" LAFZO ME ADA HO KIS TARHA PURSA
THI EK SHAB KI DULHAN BEWA HUA PAAMAAL THA DULHA
MERI TEHREER KHUD MUJHKO YEHI NAUHA SUNAATI HAI
AJAL AANSU BAHAATI HAI
HAAYE QAASIM(AS) HAYE HAYE QAASIM(AS)
..(2)
BADAN QAASIM(AS) KA TUKDE HAI JAWAANI GHAM MANAATI HAI AJAL AANSU BAHAATI HAI
AJAL AANSU BAHAATI HAI..(2)

SHUKRE MAULA(AS)