Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron

- Ameer Hassan Amir (2007)


Aza tamam marqad karo azadaron

    Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)
    
    Haye Hussain (6)

    Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)

1. Safar ka waqt hai mehman ko alwida kaho
   Juloos e shah e shaheedan ko alwida kaho
   Ujad ne wale hain kuch der may azakhane (2)
   Kisi behan ko kisi maa ko alwida kaho

   Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)

2. Zari hi tashna musafir ki behne wali hai
   Imam walon ki raunakh ujad ne wali hai
   Bujhe hue hain diye ro rahi hain deewarein (2)
   Jo mehman thi woh Bibi bichadne wali hai

   Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)

3. Saron pe dard hai ansun hai astinon par
   Udas baithe hain sab maatami zameenon par
   Rula rahe hain ye murjhaye phool sehron ke (2)
   Na Ghazi ye hain na patke hain shah nasheenoon par

   Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)

4. Kahan aaj ye manzar aza ke layegi
   Ye khamoshi ye udasi hume rulayegi
   Jiyenge kaise Zari o Alam se hoke juda
   Na din ko chain na raathon ko neend ayegi (2)
   
   Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)

5. Nabi ke chain ko kaise kahen Khudahafiz
   Shahe Hunain kaise kahen Khudahafiz
   Ye soch soch ke ankhon may asq aaye hain (2)
   Ke hum Hussain ko kaise kahen Khudahafiz

   Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)

6. Suqood bazme aza ka bohot rulayega
   Khud apne ghar ka ye sannata humko khayega
   Kise qabar ke ye din phir naseeb ho ke na ho (2)
   Jo agle saal jiyega woh gham manayega

   Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)

7. Udaasiyan sabhi maaon ke rukh pe chayi hain
   Labon pe bayan ko aankhon may ashq layi hain
   Phuppi ko dena hai pursa tumhare baba ka (2)
   Sakina Bibi tumhari kaneezein aayi hain

   Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)

8. Tumhari yaad may bechain hote jate hain
   Tumhari hujr may jaan apni khote jaate hain
   Inhe bhi dekhlo jhoole se ay Ali Asghar (2)
   Ye bache godi may maaon ki rote jaate hain

   Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)

9. Jab aayega kisi barchi ka yaad royenge
   Qasa may goonjegi jab jab azan royenge
   Tumhari hujri ay Shabhiye Paighambhar (2)
   Lab apna peetkar saare jahan royenge

   Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (2)

10. Hay itna ameer o nayyar kabhi yakeen maula
    Pasand donon ko hai sar zameen maula
    Badan humara hai bharath bhi karbala bhi magar (2)
    Jahan chale ho le chalo hume bhi maula

    Hussain jaate hain rukhsat karo azadaron (3)

    Haye Hussain (6)