Massuma-e-Qum

- Ali Safdar (2009)


Massuma-e-Qum (x2)

Assalam-e-Khwahar-e-Wali-e-Tu's

Massuma-e-Qum (x2)

Assalam-e-Malka-e-Ehl-e-Nufu's

Massuma-e-Qum (x2)

Assalam Ay Hurmat-e-Arz-e-Ajam

Assalam Ay Noor-e-Taqdeess-e-Haram

Massuma-e-Qum (x2)

Pasbaan-e-Wadiy-e-Qum Par Salaam

Tu's Ki Tum Fatema Tum Par Salaam

Bhayi Ki Ulfat Ki Maari Par Salaam

Ho Salam Uss Gham Guzari Par Salam

 

Ay Khwahar-e-Maula Reza, Massum-e-Qum Fatema (x2)

Massuma-e-Qum (x2)

 

Aap Key Rozey Pei Hazir

Hogaya Yeh Kafela (x2)

Sab Kanizein Aap Ki Hai

Sarey Khudaam-e-Wafa (x2)

Sab Muhibbey Aley Ahmad Gham Gussar-e-Karbala

Hogayi Hamko Ziyarat, Aapki Shukr-e-Khuda ...

 

Roza-e-Aqdas Pei Yeh

Aya Hamey Hukm-e-Imaam (x2)

Aap Ki Khidmat Mei Bibi

Peysh Kartey Hai Salaam (x2)

Ham Azadar-e-Hussaini Aap Key Adna Ghulaam

Sab Key Daman Mei Muradey, Sab Key Lab Par Hai Dua ...

 

Ham To Aey Hai Yahan

Matam Guzari Key Liyey (x2)

Karbala Walon Key Gham Mei

Aah-ho Zari Key Liyey (x2)

Sina Ko Bhi Key Liyey Aur Ashq Bari Key Liyey

Pursa-e-Shabbir Deney, Aey Hai Ehl-e-Azaa ...

 

Lijiyey Akbar Ka Pursa

Woh Jo Tha Laila Ka Laal (x2)

Wo Shabih-e-Mustafa

Woh Peykar-e-Yussuf Jawaan (x2)

Haey Aissey Naujawan Ka Yeh Huwa Maqtal Mei Haal

Jaissey Hi Barchi Khichi Bahar Kaleja Agaya ...

 

Chu'm Kar Abbas Key

Shanon Ko Kehte They Imaam (x2)

Yeh Mere Bazu Hai Bhayi

Aenguey Yeh Mere Kaam (x2)

Sar Juka Kar Boley Ghazi Aap Aqa Mein Ghulam

Mein Utarunga Inhey Shanon Sey Sadqa Aap Ka ...