PYason Se Zyada Door NA tha
- Miscellaneous (2014)
1.PYason Se Zyada Door NA tha
pyaso se zyada door na tha behte huwe darya ka pani
na kaamiye qismat kya kahiye paaya na magar khatra pani
pyase jo rahe chaubees pehar loo dhoop may yun sookha pani
roye to lahoo aaya behkar aankhon may na tha khatra pani
pyaso se zyada....
asghar ne badi umeedon se moo khola magar lab tar na huwe
bache ke liye allah allah tha jaan se bhi mehenga pani
pyaso se zyada....
waada jo kiya tha maadar se wo aun o mohamed karke rahe
behta tha barabar may darya mudkar na magar dekha pani
pyaso se zyada....
pyaso ke muqaddar may hi na tha pani ka koi kahtra shayad
abbas ne de di jaan magar qaimay may nahi pahuncha pani
pyaso se zyada....
ashoor ko jalti reti par pyasa tha mohamed ka dilbar
har roz qayamat tak bhi agar kya fayeda barsa pani
pyaso se zyada....
abbas ke honton ke chaalay kehte hai imame bekas se
qabze may tha ghazi ke darya lekin na piya khatra pani
pyaso se zyada....
kuch is se zyada ho na saka majboor tha darya kya karta
pani ke liye tadpe asghar, asghar ke liye tadpa pani
pyaso se zyada....
pathar ke jigar bhi aab huwe maqtal may nisar aada roye
honton pe phira kar apni zaban baysheer ne jab maanga pani
pyaso se zyada....