Haye Hassan

- Hassan Sadiq (1997)


Haye hasan (4)

Jaise he ghar se nikla taboot mujtaba ka (2)
Teeron may gir gaya tha (2)
Farzand murtaza ka

Haye hasan (2)
Jaise he ghar se nikla taboot mujtaba ka, Jaise he ghar se nikla

Kya mila tujhe ay zaalim Qasim yateem karke (2)
Kuch bhi na khauf aaya (2)
Dilme tere khuda ka

Haye hasan (2)
Jaise he ghar se nikla taboot mujtaba ka, Jaise he ghar se nikla

Roko na aaj mujhko ay chand Fatema ke (2)
Dum ghut raha hai ab toh (2)
Abbas ki wafa ka

Haye hasan (2)
Jaise he ghar se nikla taboot mujtaba ka, Jaise he ghar se nikla

Hai dusra aal imamat ka (2)
Zehra ke jigar da para
Hai dusra aal imamat ka (2)
Zehra ke jigar ka para
Panjatan me paak gharane may 
Tha Hasan he sab ko pyara 
Kyon barasti hai teeron ki 
Kyon zeher se usko mara
Tha jiska baba nabiyon ka mushkil may pak sahara 
Teeron may hai janaza haye uske laadle ka (2)
Hota tha jo sahara (2)
Mushkil may anbiya ka

Haye hasan (2)
Jaise he ghar se nikla taboot mujtaba ka, Jaise he ghar se nikla

Zaati na koi tang thi aulaad e murtaza ki (2)
Saara mamla tha (2)
Islam ki baqa ka

Haye hasan (2)
Jaise he ghar se nikla taboot mujtaba ka, Jaise he ghar se nikla

Hai rehmath dono alam ki (2)
Kyun bhule uss hasti ko
Hai rehmath dono alam ki
Kyun bhule uss hasti ko
Toofan ka bilkul khauf nahi
Islam ki ab kashti ko 
Jo karm o dawat na de paye (2)
Haye apne paak nabi ko
Woh ajre risalath kya denge
Haye apne nabi arabi ko
Kalmo dawat kya agar jo na de sake nabi ko (2)
Woh haya karegi ummat (2) 
Kya aal e mustafa ka

Haye hasan (2)
Jaise he ghar se nikla taboot mujtaba ka, Jaise he ghar se nikla

Pehchane ne se qasir har koi ameer hoga (2)
Qasim bharam rakhega (2)
Kuch iss tarha chaha ka

Haye hasan (2)
Jaise he ghar se nikla taboot mujtaba ka, Jaise he ghar se nikla

Teeron may gir gaya tha (2)
Farzand murtaza ka

Haye hasan (2)
Jaise he ghar se nikla taboot mujtaba ka (3)