Khogaye ho tum kahan dhoondti madar
- Miscellaneous (2014)
khogaye ho tum kahan dhoondti madar
ay ali akbar mere ay ali akbar mere
zakm seene par laga aur jigar tak chid gaya
khoon se rangeen hai sar zameen-e-karbala
haat rakh lo zakm par aati hai madar
khogaye ho tum kahan....
aarzoo ye thi meri dekhun sehre ki ladi
haye qismath kya karoo khoon may maiyath bhari
sayj phoolon ki kahan khaak ka bistar
khogaye ho tum kahan....
mohsin o yawar nahi shah ka lashkar nahi
so gaye abbas bhi godh may asghar nahi
saykdon ranjo mehan aur ek sarwar
khogaye ho tum kahan....
ek sakina si behan [shal] hai kodon se badan
baand-ne ko halq may shimr laaya hai rasan
zulm ki hai inteha chin gaye gohar
khogaye ho tum kahan....
thauq ka azaar hai abid-e-beemar hai
zainab-o-kulsoom aur sham ka bazaar hai
baad tere ahle shar le gaye chadar
khogaye ho tum kahan....
qaid se jab jaungi mai madinay jaungi
poochegi sugra tumhay kya usay batlaungi
kis tarha seh payegi gham tera khwahar
khogaye ho tum kahan....
ay shaheed-e-karbala ay shabih-e-mustufa
waasta hai aap ko shabbar-o-shabbir ka
ab hassan ki kuch khabar lijiye aakar
khogaye ho tum kahan....