Masuma ko Zainab ki nazar dhoondh rahi hain.
- Qamber Ali Kiyani (2013)
Zainab ki nazar dhoondh rahi hain.....x2

Masuma ko Zainab ki nazar dhoondh rahi hain
Bikhre hue lashe hain jidhar dhoondh rahi hain
Masuma ko Zainab ki nazar dhoondh rahi hain
Laila se kaho chand se bete ko chupa le...x2
Barchi tere Akbar ka jigar dhoondh rahi hain
Masuma ko Zainab ki nazar dhoondh rahi hain
Do kurte jale, jhule ki kutch raakh hain Asgar....x2
Maan teri yahi rafte safar dhoondh rahi hain
Masuma ko Zainab ki nazar dhoondh rahi hain
Jo so gaye Islam ki qandile jalakar...x2
Un pyaason ko ab tak woh nahar dhoondh rahi hain
Masuma ko Zainab ki nazar dhoondh rahi hain
Tum jaisa moazzin to nasibon se hain milata...x2
Akbar tujhe ab tak yeh fajar dhoondh rahi hain
Masuma ko Zainab ki nazar dhoondh rahi hain
Jalte huwe khaymon se Mohammed ki nawasi..x2
Bhaiyya tera beemar pisar dhoondh rahi hain
Masuma ko Zainab ki nazar dhoondh rahi hain
Laila se kaho chand se bete ko chupa le ....x2
Barchi tere Akbar ka jigar dhoondh rahi hain
Masuma ko Zainab ki nazar dhoondh rahi hain
Aaie maatami tauqeer teri kitni buland hain....x2
Zehra tere ashkon ka gohar dhoondh rahi hain
Laila se kaho chand se bete ko chupa le....x2
Barchi tere Akbar ka jigar dhoondh rahi hain
Masuma ko Zainab ki nazar dhoondh rahi hain.....x2