Ay mere Auno Muhammad Aao

- Waseem Rizvi (2013)


Ay mere Auno Muhammad Aao 
Roze Aashur tha har simt bapa tha mehshar........
Aur ek maan ki sada thi ke kahan ho dilbar.......
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
1
Aao ji bhar ke tumhen piyaar karon
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
Apne hathon se main tayyar karon 
Apne hathon se main tayyar karon 
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
2
Ek ek waar rahe Hamza o jafar ki tarah (2)
Aaj larna hai tumhen fatahe khaibar ki tarah
Apne hathon se main tayyar karon 
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
Aao ji bhar ke tumhen piyar........
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
3
Main qasam deti hoon tatheer ki beta tumko (2)
Laaj rakhna hai mere sheer ki beta tum ko
Apne hathon se main tayyar karon
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
Aao ji bhar ke tumhen piyar........
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
4
Farz ek sachche mujahid ka ada karna hai (2)
Apne maamon pe tumhen jaan fida karna hai
Apne hathon se main tayyar karon
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
Aao ji bhar ke tumhen piyar........
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
5
Apne andaaz ko duniya se juda rakhna hai (2)
Qad main chote ho magar Azm bara rakhna hai
Apne hathon se main tayyar karon
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
Aao ji bhar ke tumhen piyar........
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
6
Nosh karna hai tumhen jaame shahadat beta (2)
Aayen gi laashen tumhari to karongi sajda
Apne hathon se main tayyar karon 
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
Aao ji bhar ke tumhen piyar........
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
7
San sanate huwe teeron mian daro aur na ruku (2)
Aaj ke din ke liye pala tha maine tum ko
Apne hathon se main tayyar karon 
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
Aao ji bhar ke tumhen piyar........
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
8
Saye main teeron ke talwaron ke rukhsat kar doon (2)
Apne bhaiyaa pe tumhen waar ke rukhsat kar doon
Apne hathon se main tayyar karon 
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
Aao ji bhar ke tumhen piyar........
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
9
Sar pe suraj hai magar bhool ke ab piyas aawo (2)
Mukhtasar waqt hai jaldi se mere paas aawo
Apne hathon se main tayyar karon 
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
Aao ji bhar ke tumhen piyar........
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
10
Roze Aashur ye kehti thi (faseel) ek madar (2)
Hai khabar ab na kabhi aawoge maqtal se magar
Apne hathon se main tayyar karon
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
Aao ji bhar ke tumhen piyar........
Ay mere Auno Muhammad Aao ....... 2
end