WO mera Husain hai
- Nasir Agha (2012)
Zehra ka noor e ain hai, qalb e nabi ka chain hai,
Quraa'n ki zeb o zain hai, Jo zeenat e kaunain hai,
Jo maqsad e daarain hai, Jo maalik e saqlain hai.
WO mera Husain hai, WO mera Husain hai.
1) Jo saahib e kirdaar hai, Jo mamba e anwaar hai,
Jo kaashif e ashraar hai, Jo noor ka meenaar hai,
Jo deen ka saalaar hai, Jo quld ka sardaar hai.
WO mera Husain hai.
2) jis ki zubaa Quran hai, eemaan jis ki Jaan hai,
Jo soorah e rehmaan hai, Allah ki burhaan hai,
Jo adl ki meezaan hai, rehmat ka Jo toofaan hai.
WO mera Husain hai.
3) tatheer me shaamil hai Jo, quraan ma aamil hai Jo,
Islam ka haasil hai Jo, toofaan me saahil hai Jo,
Har panjatan ka dil hai Jo, irfaan ki manzil hai Jo.
WO mera Husain hai.
4) Jo saahib e tauqeer hai, Jo lauh ki tehreer hai,
Jo arsh ki tanveer hai, Jo ibne qaibar geer hai
Jis ki nazar shamsheer hai, Jo maalik e taqdeer hai.
WO mera Husain hai.
5) Jo hai naqeeb e deen e haq, hai Jo muneeb e deen e haq,
Hai Jo naseeb e deen e haq, Jo hai habeeb e deen e haq,
Hai Jo tabeeb e deen e haq, hai Jo qateeb e deen e haq.
WO mera Husain hai.
6) ho gar mareez e laa dawaa, usko bhi dey jaam e baqaa,
Raushan hai hurr ka waqia, jannat ka rastaa paagaya,
Bolaa ye hurr bhi barmalaa, raazi hai jis sey kibriyaa.
WO mera Husain hai.
7) ooncha raha jis ka alam, badhta raha jaaho hasham,
Haq ney rakha jis ka bharam, hum pey hai ye jis ka Karam,
Kehta hai dil bhi damm Ba damm, hai Jo shahinshaahey umam.
Wo mera Husain hai.
8) mehboob e qatmul mursaleen, anwaar e qudrat ka Ameen,
Auj falak Auj e zameen, dil jis ka quraan e mubeen,
Haq ki anghotii ka nageen, hai naam bhi jis ka haseen.
WO mera Husain hai.
9) nasir riyaaz e quld bhi, jaageer hai Shabbir ki,
Jisko huwi ye aagahi, kaun o makaa me bangayi,
Uska muqaddar raushni, phir raushni kehney lagi.
WO mera Husain hai.