ay maa tum mujhe paas bulaalo
- Miscellaneous (2014)
ay maa tum mujhe paas bulaalo mujhe pyaas sataati hey
turbat se ali asghar ki (x2) awaaz ye aati hey
1) yaad aaye bohot mujhko tera jhula jhulana
hyy, kabhi seene se laga ke tera lori sunana
jab rayt garam pyaari maa (x2) mere tan ko jalaati hey
2)hyy pyaas ki shiddat se gala sukha parha hey
hyy, hey zakhmi gala usme ay maa dard bar(r)a hey
turbat me akela hu(n) mey (x2) tanhaai daraati hey
3)jhule mey parha asghar din raat hey roya
hyy, jab pyaas bujhi iski to phir cheyn se soya
maqtal mey sakina phir kyu(n) (x2) ise dhoond ne jaati hey
4)darwaaze pe khaima ke ye ik bibi khar(r)i hey
hyy, mur mur ke jo maqtal ki taraf dekh rahi hey
ik khoon bharey chole ko (x2) aankho(n) sey lagaati hey
5)wo shame ghariba ko ajab zulm huwa tha
hyy, sar nange thi har bibi har ik khaima jalaa tha
abbas ka saaniy-e-zahra (x2) hyy farz nibhaati hey
6)akhtar ye hawaao(n) ne jo paighaam diya hey
hyy, asghar tujhe sughra ne bohot yaad kiya hey
ik baar madine aao (x2) bemaar bulaati hey