Dil Shikasta Haram

- Waseem Rizvi (2010)


Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye
Kal ka har waqaiya yaad aane laga
Ashq ankhon may be sakhta aagaye (2)

Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye (2)

Haan yahin par lage the humare qayam
Bait the yahan shahedeen k ghulam
Aur yahin toh pade the kabhi khushk jaan
Chin rahi thi ridayein yahin tha maqam
Kal ka har waqaiya yaad aane laga
Ashq ankhon may be sakhta aagaye

Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye
Dil shikasta haram

Lut gaya tha yahin sayyada ka chaman
Bus yahin par tadapte the guncha dahan
Laash shah e zaman thi yahin be kafan
Haan yahin bazuon may bandhi thi rasan 
Kal ka har waqaiya yaad aane laga
Ashq ankhon may be sakhta aagaye

Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye
Dil shikasta haram

Kuch the bache ke baad inke hoton pe dum
Hum pe jis waqt chooti thi shaam e alam
Raakh par jalte khaimon ki dekhe the hum 
Dekh kar humko haste the ahle sitam
Kal ka har waqaiya yaad aane laga
Ashq ankhon may be sakhta aagaye

Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye
Dil shikasta haram

Lag chuki thi shabi e nabi ko sina
Ghum se ro ro ke behaal thi bibiyan
Noke naiza pe sab padhke shah e zaman
Har taraf aag si har taraf tha dhuan
Kal ka har waqaiya yaad aane laga
Ashq ankhon may be sakhta aagaye

Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye
Dil shikasta haram

Ye wahi hai kanara wahi hai furat
Jiske atraaf simt thi kul kayinath 
Jiske maujon ne paayi thi pyaason se maar
Aisa lagta hai jaise ho kal he ki baat
Kal ka har waqaiya yaad aane laga
Ashq ankhon may be sakhta aagaye

Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye
Dil shikasta haram

Kal yahin par qayamat ke aasaar the
Aur hum be sahara the nachaar the
Jitne wehshi darinde the badkaar the
Zulm ithrath pe karne ko tayyaar the
Kal ka har waqaiya yaad aane laga
Ashq ankhon may be sakhta aagaye

Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye
Dil shikasta haram

Sher e hyder ke baazu padhe the yahin
Shah sar ko jhukaye khade the yahin
Saikadon teer tan may gade the yahin
Qatle sheh par sitamgar adey the yahin
Kal ka har waqaiya yaad aane laga
Ashq ankhon may be sakhta aagaye

Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye
Dil shikasta haram

Tha jahan lasha e shah e duniya o deen
Ab bhi rangeen hai khoon se wo zameen
Uss zameen par jhukati hai duniya jabeen
Ay faseel ab bhi roti hai zehra wahin 
Kal ka har waqaiya yaad aane laga
Ashq ankhon may be sakhta aagaye

Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye
Dil shikasta haram jhel kar har sitam
Qaid se chut ke phir karbala aagaye
Dil shikasta haram