Aaj shabbir pe dil khol ke rolene do

- Waseem Rizvi (2012)


Tayyar to ho lene do Aafat ki ye shab hai 2
Ham se shahe mazloom ki rukhsat ki ye shab hai
Aakhri Raat hai moonh Aashkon se dho lene do

Aaj shabbir pe dil khol ke ro lene do 2

2.
Bhar gaya khon e jigar Aankhon ke paimanon mein 2
Zabt ki taab nahi shah ke deewanon mein
Shamma ek raat ki mehmaan hai parwanon mein
Hai fazaye shabe Aashur Aazakhanon mein
Aakhri raat hai ……………..
Aaj shabbir pe dil khol ke rolene do …2

3
Itna piten ke ho ye Qalb e shikasta raazi 2
Itna royen ke hon zainab ki tamanna raazi
Itna ham tadpen ke hon sayyade bat’ha raazi
Itna royen gham e sheh mein ke ho zahra raazi
Aakhri raat hai ……………..
Aaj shabbir pe dil khol ke rolene do …2

4.
Aaj dil gham se tapan hai hamen roko na koi 2
Khon Aankhon se rawan hai hamen roko na koi
Aalam e Aah o fughan hai hamen roko na koi
Aamad e subhe khizan hai hamen roko na koi
Aakhri raat hai ……………..
Aaj shabbir pe dil khol ke rolene do …2

5.
Rehne do garm buka garm safar hone tak 2
Rehne do farsh Aza khane ka tar hone tak
Dil nahi smabhle ga sad para jigar hone tak
Ham ko ji bhar ke tadapne do sehar hone tak
Aakhri raat hai ……………..
Aaj shabbir pe dil khol ke rolene do …2

6.
Us pe rone do hua zibha jo be jurm khata 2
Us pe rone do jo masoom bhi mazloom bhi tha
Us pe rone do kabhi jis ka janaza na utha
Us pe rone do jise roti hain ab tak Zahra
Aakhri raat hai ……………..
Aaj shabbir pe dil khol ke rolene do …

7.
Us pe rone do jise rona saki us ki behan 2
Us pe rone do jise mil na saka gusl o kafan
Us pe rone do mayassar na tha jis ko madfan
Us pe rone do jise kehte hain Aawara watan
Aakhri raat hai ……………..
Aaj shabbir pe dil khol ke rolene do …2

8.
Us pe rone do rulaya gaya jis ko din bhar 2
Us pe rone do jo piyasa raha Aththara pahar
Us pe rone do bohat zakhm tha jis ke dil par
Us pe rone do falak roya jise shaam o sehar
Aakhri raat hai ……………..
Aaj shabbir ko dil khol ke rolene do …2

9.
Jis ki ghurbat ki koi had thi na zakhmon ka shumar 2
Jis ke ek sar ke liye teghen thin chalis hazaar
Jis ka yawar tha koi ran mein na koi gham khawar
Us pe rone do jo hai sayyad e mehroom e mazar
Aakhri raat hai ……………..
Aaj shabbir pe dil khol ke rolene do …2

10.
Jis ke Akbar ke kaleje mein sina todi gayee 2
Jis ke Asghar ke liye ran mein kaman jodi gayee
Jis ka ghar phoonkne ko fauje sitam modi gayee
Jis ke namoos ki chadar bhi nahi chhodi gayee
Aakhri raat hai ……………..
Aaj shabbir pe dil khol ke rolene do …2

11.
Uthne wali hai koi der mein ye majlis e gham 2
Sune honge ye Azaakhane badhenge ye Alam
Saal bhar baad kahin payenge shabbir ko ham
Aao " manzoor " karen Aaj seher tak matam
Aakhri raat hai ……
Aaj shabbir pe dil khol ke ro lene do.