Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale
- Ali Najaf Rizvi (2011)
Haye Hussain....x5
Jab aya chand Moharram ka asman pe nazar
To rooh e Fatema Zehra yeh boli ro ro kar
Mere khuda....x4
Mera Hussain ab hain tere hawale
Jab aya chand Moharram ka asman pe nazar
To rooh e Fatema Zehra yeh boli ro ro kar
Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale
Safar me hain mera baccha mere Hussain ki khair
Mere jigar ka hain tukda mere Hussain ki khair
Mashakkaton se hain pala mere Hussain ki khair
Wohi hain mera jiyala mere Hussain ki khair
Mere khuda na lage usko dushmanon ki nazar
Mere khuda ...x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale)x2
Laeen zadon ne Shabbir ko bulaya hain
Yeh hain woh log jinhone mujhe rulaya hain
Hasan ko aur Ali ko bohot sataya hain
Ameen waqt mere ladle pe aya hain
Rahe balaaon se mehfuz mere ke nafar
Mere khuda...x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2
Mujhe hain yad abhi tak woh akhri manzar
Vida ke waste aya tha jab mera dilbar
Lipatke qabr se kehta tha mujhe ro ro kar
Duayein dijiye amma ke ja raha hain pisar
Mere khuda mere bacche ko raas aaye safar
Mere khuda....x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2
Hain saath shahe di ke Qasim o Akbar
Hain chhote bacchon me Baqar Sakina aur Asgar
Tamam kunba hain hamrah aur taweel safar
Kahi hain wadiyon Zehra kahi kahi hain shajar
Lute na jake kisi dasht me Rasul ka ghar
Mere khuda...x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2
Sukoon hain mujhe Abbas Sheh ke saath me hain
Haram ke parde ka ehsaas Sheh ke saath me hain
Woh faake jism ki ehsaas Sheh ke saath me hain
Hain jisse mujhko badi aas Sheh ke saath me hain
Lage na bazu e Abbas ko kisi ki nazar
Mere khuda ....x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale )x2
Baqa e deen e Mohammad hain maksad e Shabbir
Hain uske saath har ek lamha Zainab e dilgeer
Luta ke haq me behan bhai apne fir jageer
Dikhayege hume khame khaleel ki tameer
Behan ke samne lekin kate na bhai ka sar
Mere khuda....x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2
Kaleja Akbar e mehroo ka ched degi sina
Gale pe teer e sitam lege Asgar e nadaan
Diler Aun o Mohammed bhi qatl hoge waha
Jalega aag ke sholo se shahe di ka makan
Mujhe sunana na mabood koi aisi khabar
Mere khuda....x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2
Suna hain dasvi Moharram ko qatl hoge Hussain
Khayame Ahmad e mursal me hoga shoro shayn
Mujhe lehad me bhala kis tarah se ayega chain
Gareeb Zainab e muztar karegi roke ye bain
Gala hain khushk baradar ka Shimr zibh na kar
Mere khuda.....x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2
Aseer hoge nabizadiyan khabar hain mujhe
Satayi jayegi shehzadiyan khabar hain mujhe
Chalegi zulm ki har aandhiyan khabar hain mujhe
Lahoo bahayega yeh asman khabar hain mujhe
Main kitne gam karu bardasht kab hain dabe jigar
Mere khuda .....x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale)x2
Pinhai jayegi Abid ko hathkadi bedi
Rulayi jayegi har gaam ladli sheh ki
Har ek hot pe lipti rahegi tashna labi
Khabar kisi ko na hogi kab unki pyaas bujhi
Game Hussain me dube rahege shams o kamar
Mere khuda......x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2
Bandhegi Zainab e muztar ke reesmane sitam
Sakina bibi ko tadpayega Hussain ka gam
Har ek zulm o sitam azmayege azlam
Sare Hussain bhi aansu bahayega payham
Behan na dekh sake gi sina pe bhai ka sar
Mere khuda.....x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2
Azim aur Najaf sunke dastane alam
Zameen se taba falak mehre gam hua aalam
Har ek simt bapa tha Hussain ka matam
Dahade maarke rote the ambiya payham
Jigar ko thamke bole yeh sakiye kausar
Mere khuda....x2
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x2
Jab aya chand Moharram ka asman pe nazar
To rooh e Fatema Zehra yeh boli ro ro kar
(Mere khuda mera Hussain ab hain tere hawale) x3