Haider ka musalla
- Mir Hasan Mir (2015)
Hayya a'laa khairil amal..(2)
Ali Ali Ali ALi ALi Ali ..(2)
Kya takhte sulemaa'n ki haqeeqat mere aage
uddh kar bhi woh aflaaq se niche hi raha hai
hai sarhade sidhra se bhi aage meri parvaas
kadmon ne ali ke mujhe rutbaa yeh diya hai
haider haider haider ..(2)
haider ka mussalla hu main haider ka musalla ..(3)
Rehta hai mere...
Rehta hai mere zere qadam arshe moalla
haider ka mussalla hu main haider ka musalla ..(2)
1. Din dhalte gaye aur guzarti rhi raatein
tanhaai mein karte hue allah se baatein
mujhpar hi mere maula ne ghazi ko tha maanga
haider ka mussalla...
2. Taukeer o sharaf lafz hai main unki haqeeqat
iss baat se samjhe yeh zamaana meri hurmat
mujhko kabhi ..(2) zahra kabhi zainab ne bichhaaya
haider ka mussalla...
3. Allah nahi hai ali allah ka wali hai ..(2)
duniya ko daleel iski faqat mujhse mili hai
sach maine kiya surah e ikhlaas ka daawa
haider ka mussalla...
4. Khaamosh shabe aqde ali tha main adab se
jab chaadare zahra pe ali karte the sajde
aukaat meri kya thi ke uss waqt main kehta
haider ka mussalla...
5. Tarteeb mei aage the nabi peeche the haider
jab bayte muqaddas se mude kaabe k rukh par
kuch pal ko ..(2) mere peeche tha sarwar ka musalla
haider ka mussalla...
6. Is baat ki tasdeeq khudaz qaul nabi hai
jo aashiqe haider hai namaazi hi wahi hai
munkir jo ..(2) wilaayat ka hai dushman hai woh mera
haider ka mussalla...
7. Maula ka mussalla bhi hu khairaat ka dar bhi
anguthi mere saamne maula ne ataa ki
jab haath badha tha toh main kadmo'n mei pada tha
haider ka mussalla...
8. Ek din yeh samaa sab ko nazar aega 'akbar'
kaabe mei bicchaaenge jo maula mujhe aakar
eesa ka musalla mere peeche hi bichhega ..(2)
haider ka mussalla...
haider haider haider ..(2)