Apne markaz pe khada ashk bahaega husain

- Miscellaneous (2014)


Apne markaz pe..
Apne markaz pe khada ashk bahaega husain
Amma jab tak na bulaogi na aaega husain..(4)

1. Roke sarwar ne kaha aankh to kholo amma
itni khamosh ho kyu mujhse to bolo amma
yaad nana ki jo aai hai to rolo amma
thak gai ho to zara der ko solo amma
Apne markaz pe..

2. Mujhse baba ka sisakna nahi dekha jaata
ghumzada bhai ka girya nahi dekha jaata
ab to kulsoom ka rona nahi dekha jaata
mujhse zainab ka tadapna nahi dekha jaata
Apne markaz pe..

3. Ashk aalood fiza ghum ki ghata chhai hai
har kali gulshane islaam ki murjhai hai
haye kis mod pe taqdeer hame laai hai
aale ahmed pe musibat ki ghadi aai hai
Apne markaz pe..

4. Kaun baba ko masaeb me dilasa dega
hum ghareebo ko bhala kaun sahara dega
behre ghum kaise safeene ko kanara dega
dhyaan har haal me yu kaun hamara dega
Apne markaz pe..

5. Abhi nana ki judai ka alam taaza hai
furqate rehmate kaunain ka ghum taaza hai
qalbe muztar me ghume shahe umam taaza hai
ab aseero pe falak ka ye sitam taaza hai
Apne markaz pe..

6. Sunke muztar ki fugha charke kuhan kaanp utha
qalbe kaunain basad ranjo mehen kaanp utha
qabre athar me payambar ka badan kaanp utha
kehte kehte shahe wala ka sukhan kaanp utha
Apne markaz pe..

7. Sunke sarwar ka sukhan bande kafan toot gaya
roohe zehra hui bechain falak tharraya
haath phailake zakiya ne hasan farmaya
aa gale lag ja mere ab na ye kehna beta
Apne markaz pe..