Tooti hui qabrein

- Lakhani Brothers (2009)


subbat alayya masaebul law annaha
subbat alal ayyame sirna  liya liya
nabi ke shehr ki wo benishaa tooti hui qabrein..(4)
khud apna dard karti hai bayan..(2)
tooti hui qabrein

1. Ye kabre fatema ki fatema ke gul azaaro ki..(2)
nabizaadi ke gulshan ki khiza..(2)
tooti hui qabrein

2. Ye veerani rasool e paak ke roze ke pehlu me..(2)
kahan wo gumbade khizra kahan..(2)
tooti hui qabrein

3. Sitam ki dastane inki khamoshi ne keh daali..(2)
hai tarje misle asghar bezabaa..(2)
tooti hui qabrein

4. Hidayat di inhone khoon de dekar zamane ko..(2)
jahan ne kya diya jalte makaan..(2)
tooti hui qabrein

5. Watan se door to maare gae unke hazi roze..(2)
watan walo ki lekin hai nishaa..(2)
tooti hui qabrein

6. Tumhara daur ghaibat aur kitna tool khechega..(2)
bulati hai tumhe shaahe zamaa..(2)
tooti hui qabrein

7. Shikasta aaine me aks har surat me rehta hai..(2)
shikasta aaine ki tirchiyan..(2)
tooti hui qabrein

8. Zamee wale na pohchenge kabhi inki bulandi tak..(2)
musaddiq chhoo rahi hai aasmaa..(2)
tooti hui qabrein

nabi ke shehr ki wo benishaan
tooti hui qabrein