Na koi amal hai

- Ali Shanawar and Ali Jee (2013)


Na koi amal hai na mai parsa hu..(2)
meri baat tere karam se bani hai

1. {Mai kuch bhi nahi hun, magar ye sharaf hai
ke rukh mere aaqa ka meri taraf hai } ..(2)
areyy mai to.. bus unke darr ka gadaa hun

2. {Mere mustafa ke jo darr ka gadaa hai
haqeeqat me dekho to wo badshaah hai} ..(2)
teri nazre rehmat ka talib raha hun

3. {Jahan mangta hun wo tera hi darr hai
mujhe naaz hai to isi baat par hai} ..(2)
mere aaqa tere mai darr ka gadaa hun

4. {Bhatakne se maula ne mujhko bachaya
sada majliso me hai mujhko bulaya} ..(2)
teri zaat se mo'tabar hogaya hun