Wo khoon roke kehta raha zamane se

- Asgar Khan (2009)


Wo khoon ro kay kehta raha zamanay say

Ridaeyn cheeno naa (x2) logo mere gharanay say
 
1. Sawal-e-aab pay ronay pay us kay sonay pay (x2)
wo maartay thay (x2) sakina ko her bahaanay say
 
2. Bulati kis tarha abbas ko madad kai liye (x2)
wo berida thee (x2) jhijhakti rahi bulanay say
 
3. Sulaya Jaata tha behosh kar ke durron say (x2)
jagaya jata tha (x2) abid ko taaziyanay say
 
4. Rida-e-saani-e-zehra mei dhal gaya akbar (x2)
ghubaar utha jo laashon kay thar tharaanay say

5. Kuch isterha sar-e-kerbobala wo ujday thay (x2)
kay darr rahay hain (x2) abhi tak wo ghar basaanay say
 
6. Kaha ye ganj-e-shaheedan mei baap kay sar nay (x2)
mujhai sakina (x2) bulati hai qaid khaanay say