Mujhko tanha
- Abbas Bandali (2006)
Baba jaan haae Baba jaan, Baba jaan haae Baba jaan
(Mujhko tanha na kabhi chodke jaana Baba) x3
(Mujhko mehmil me bhale) - 2
tum na bithaana Baba
(Mujhko tanha na kabhi chorke jaana Baba) x2
1. Gar khataa mujhse huwi hai to khataa maaf karo
(Maardaale na mujhe) x2 aapka jaana Baba
2. Dekh tayyaar Sakina (s.a) hai Ali Akber (A.S.) bhi
(Hun agar ghair to tum) x2 itna bataana Baba
3. Tum se shikwa na karungi apni bimaari ka
(khud hi le lungi dawa) x2 tum na pilaana Baba
4. Saath Asgher (A.S.) ko liye jaane ka maqsad kya hai
(Apni bimaar se tum) x2 ye na chupaana Baba
5. Baba pardes mein Akber (A.S.) ki karo jab shaadi
(Us ghari Sughra (A.S.) ko tum) x2 bhool na jaana Baba
6. Phir agar mil na saki itni guzaarish hai meri
(Meri turbat pe diya) x2 aake jalana Baba
7. Kaarwaan jab ye chala karbobala ay 'Yaawar'
(Sughra (A.S.) kehti thi yehi) x2 lot ke Aana Baba