Ali hujjatullahe ala ibadah

- Shabih Abbas Jafri (2015)


Ali ali..
Ya ali...
ali haq ali haq
Maslak e ishq ye tehreer hua
ali hujjatullahe ala ibadah

Dekho tafseer sare karbobala
ali haq ali haq
ali hujjatullahe ala ibadah

1. Shab he ashoor hui jab ye ayaa
har taraf ranjo alam ka tha samaa
gunji sehra me jo akbar ki azaa
ali haq ali haq
Har taraf chhane lagi meri sadaa

2. Ishq e haider se mila ishq e khuda
sab ali waley sare karbobala
ek ek karte hue sheh pe fida
ali haq ali haq
jo bhi ghode se gira usne kaha

3. Wo jo tauheed bachane aaye
aur shabbeer pe qurban hue
jaante the ye husaini saare
ali haq ali haqye hi naara hai baqaae kabaa

4. Ghum ke tufoon to chhate hi rahe
dil pe har zakhm ko khate hi rahe
laashein shabbir uthate hi rahe
ali haq ali haq
sheh ki dharas tha faqat ye jumla

5. Marhala haaye wo aaya jis dum
waada sarwar ne nibhaya jis dum
deene haq yaani bachaaya jis dum
ali haq ali haq
keh ke sar rakkha mayane sajdah

6. Bole shabbir suno fauje jafa
ab nahi koi mere rab ke siwa
aur risalat ke amee hai nana
ali haq ali haq
aur phir sheh ne bila fasl kaha

7. Bhai ki laash pe aai dukhiya
laashe shabbir pe zainab ne kaha
ab mai phailaungi paighaam tera
ali haq ali haq
kal sadaa hogi sare farshe azaa

8. Laakh salmaan mukhalif thi hawa
humne har aan shabhi ghum ye saha
koshishe karte rahe ehle jafa
ali haq ali haq
kalmaye haq se na ho paya juda