Main husain hun
- Mukhtar Hussain (2008)
Me'maare e arze Karbobala
main Hussain hu....x2
Naukar bani hain jiski qaza
Main Hussain hu ....x2
Me'maare e arze Karbobala
Main Hussain hu
Is pure kayenat me Shabbir ke siwa
Guzre bohot waziro nabi aali martaba
Lekin koi yeh keh na saka
Main Hussain hu....x2
Me'maare e arze Karbobala
Main Hussain hu
Rahib ke saat bete to mamuli baat hain
Mere toh ikhtiyar me kul kayenat hain
Jo chahu jisko kardu ata
Main hussain hu
Me'maare e arze Karbobala
Main Hussain hu....x2
Mere liye nabi ne jo sajda badha diya
Khaliq se maine wada usi waqt kar diya
Karza utar duga tera
Main Hussain hu
Me'maare e arze Karbobala
Main Hussain hu
Waqif nahi hain woh mere jaho jalaal se
Bay'at talab hain Fatema Zehra ke laal se
Shayad yazeed bhul gaya
Main Hussain hu...x2
Me'maare e arze Karbobala
Main Hussain hu
Deedar ka tha shauk jo khudko gira diya
Maula ne haath thaam ke bacche se yeh kaha
Uthja Habib uthke bata
Main Hussain hu...x2
Me'maare e arze Karbobala
Main Hussain hu
Chamke hain mere noor se zarre zameen ke
Tum kya bataoge mujhe kaanoon deen ke
Islam mere ghar me pala
Main Hussain hu...x2
Me'maare e arze Karbobala
Main Hussain hu
Tum jante nahi ho hum ibne Batool hain
Yeh chaand taare sab mere qadmon ki dhool hain
Suraj hain mere ghar ka diya
Main Hussain hu...x2
Me'maare e arze Karbobala
Main Hussain hu
Ek din me akse faatah e khaybar bana diya
Lori me kya Hussain ne unko suna diya
Asgar bhi ran me kehne laga
Main Hussain hu....x2
Me'maare e arze Karbobala
Main Hussain hu
Tu maatami hain mera mujhe bhi hain yeh khabar
Lekin mere amal pe takallum amal bhi kar
Fir baksh duga teri khata
Main Hussain hu.....x2
Me'maare e arze Karbobala
Main Hussain hu