Ana Shia

- Asif Reza Khan (2015)


Risalalat e man - Mohammadi
Wilayat e man - Alawi
Ismat e man - Fatemi
Baseerat e man - Hasani
Sakhawat e man - Husaini
Ghairat e man - Abbasi
Sabr e man - Zainabi
Ibadat e man - Sajjadi
Shariat e man - Baqiri
Mazhab e man - Jafari
Aqeedat e man - Kazimi
Riza e man - Rizwi
Bakhshish e man - Naqavi
Ziyarat e man - Taqavi
Nigaah e man - Askari
Ummeed e man - Mahdi Mahdi Mahdi

Anaa shia..(8)

1. Risalat e man - Mohammadi
Mera awwal mera akhir Mohammad se juda hoga
Khuda se ibteda hogi, khuda hi inteha hoga
mere maslak ke khane me anaa shia likha hoga
risalat ka safar hoga, to manzil mustafa hoga

2. Wilayat e man - Alawi
Aqeeda mera kehta hai wilayat ka wali malik
ali ba izn e khaliq se kahin raziq kahin malik
payambar se suna hai ye qaza ki zindagi malik
ke jis jiska nabi maula usi ka hai ali malik

3. Ismat e man - Fatemi
Ujalo me andhero ne banaya hai mera parda
meri behno pe saaya hai wafa ki paak chadar ka
dare zehra se ismat ka sabak kuch yu bhi hai paya
janaza khana e zan ka ujalo me na padhwaya

4. Baseerat e man - Hasani
Baseerat ka amal har waqt mere saath rehta hai
har ek mushkil ka hal har waqt mere saath rehta hai
abhi is pal ka kal har waqt mere saath rehta hai
hasan ka ye amal har waqt mere saath rehta hai

5. Sakhawat e man - Husaini
Sakhi malik se milta hai sakhawat ka sabak mujhko
mila ghaazi ke aaqa se shuja'at ka sabak mujhko
sare shabbir deta hai ibadat ka sabak mujhko
ali ka laal deta hai sharafat ka sabak mujhko
anaa shia..anaa shiaa

Shabbir tujhpe dasht me har ek jafa rone lagi
teri sakhawat dekhkar karbobala rone lagi
tune sawali ko kabhi khali nahi jane diya
teri raza ke rubaru rab ki raza rone lagi
zalim ne abke zulm ko tera sawali kar diya
is fayl par phir zulm ki har inteha rone lagi
islam ko akbar diya, jafar diya, qasim diya
maidan me phir chhe mahine ki sada rone lagi
abbas ke bazu qalam karwa diye the deen par
ghaazi ke parcham ke pharere ki hawa rone lagi
auno mohammad bhi diye, hur ko bhi qurbaa kar diya
phir hurmala ke teer se lipti qaza rone lagi
ye silsila milta raha ashoor ke din asr tak
phir asr ke hangaam me, khalq e khuda rone lagi
phir sajda e mabood me shabbir ne sar dediya
shabbir ke ehsaan par har inteha rone lagi
is karb ke mahaul me phir wo peher bhi aagaya
shame ghareeba aur zainab ki rida rone lagi

6. Ghairat e man - Abbasi
Wafao se bhari lori mere kaano me aai hai
mujhe madar ne meri istarha ghairat sikhai hai
meri maa ki nasihat yu bhi mere kaam aai hai
meri behno ko har pal yaad hai ke unka bhaai hai

7. Sabr e man - Zainabi
Sitam ke rubaru paigham e haq mujhse bayaa hoga
pisar ki lash par shukr e khuda lab par ayaa hoga
mujhe sabir batane me sitam khud tarjumaa hoga
mere har sabr par ayyub bhi nauha kuna hoga

8. Ibadat e man -  Sajjadi
Mere sajde bataenge meri sajjad se nisbat
zamane ko dikhaenge meri sajjad se chahat
mujhe ye naaz rehta hai mere maula hai ba qudrat
isi dum se adawat ki kabhi karta nahi bay'at

Shariat e man - Baqiri
Mazhab e man - Jafari
Aqeedat e man - Kazimi
Riza e man - Razawi
Bakhshish e man - Naqavi
Ziyarat e man - Taqavi
Nigaah e man - Askari

Khudaya shukr hai tera mujhe shia banaya hai
shariat banke sar par hazrat e baqir ka saaya hai
taharat ho ibadat ho sharafat ho ke izzat ho
sabak mazhab ka saara hazrat e jafar se paaya
akela takhte shahi se aqeeda ho to takrao
hume ye hazrat e kazim ne khud karke bataya hai
riza e kibriya pau na mai ye honahi sakta
riza ke dar pe sajde me jab apna sar jhukaya hai
adu ko maaf karna baar ha behtar samajhta hu
hume ye dars bakhshish ka taqi maula se aaya hai
kabhi batil ke aage sar jhukaega bhala kaise
ke jis aqlo aqeede me naqi maula samaya hai
waha par khauf momin ko kabhi jung ka nahi hoga
jaha par ek dafa bhi askari ka naam aaya hai

9. Ummeed e man - Mahdi Mahdi Mahdi
Meri ummeed kehti hai ke suraj phir tuloo hoga
mera maula mera Mehdi mere hi rubaroo hoga
mera ehwaal sunne jab wo mehwe guftagoo hoga
hamara raaj phir se tab jahaa me kubakoo hoga

Ummeed hai Mehdi mera phirse jahaa me aaega
ummeed hai is daur ki ghatdi ko wo suljhaega
ummeed hai phir deen ke parcham ko wo lehraega
ummeed hai phir seena e islam ko sehlaega
ummeed hai wo maslake insaniyat samjhaega
ummeed hai karbal se phir paigham e haq phailaega
ummeed hai phir damane islam ko bhar jaega
ummeed hai zulmo jafa ko dasht me le aaega
ummeed hai mazloom se zalim ka sar katwaega
ummeed hai makhlooq ko khaliq ki raah dikhlaega
ummeed hai irfan wo farshe azaa bichwaega
ummeed hai asif se wo nauha koi padhwaega