Rehna hai zindaan me

- Syed Raza Abbas Zaidi (2012)


Haaye
salam karke jo ehle haram ko shahe huda
rawana janibe maqtal hue to roke kaha
sukoon e qalb o jigar, aye meri sakina aa
gale lagalu tujhe alwidayi hai lamha
ab hum na aaenge, maqtal me shab guzarenge
na tum pukarna humko na hum pukarenge..(2)

Bole sheh hum toh, marne chale
aye sakina bus ab sochle
tumko rehna hai zindaan me..(5)

1. Khwab mat dekhna ghar ke tum ..haaye
ghar na jaogi ab marke tum ..haaye
zakhm khaogi pathar ke tum..(2)
kis tarha se batau tujhe ..haaye

2. Hum palat kar na aaenge ab ..haaye
hai jahan mere ansaar sab ..haaye
hum rahenge wahi'n aaj shab..(2)
lagke sona phuphi ke gale ..haaye

3. Tashnagi hadse badh jaegi ..haaye
alqama tumse sharmaegi ..haaye
phir bhi kuch kar nahi paegi..(2)
shikwa karna na abbas se ..haaye

4. Hai tamache muqaddar tera ..haaye
ae meri dukhtare ghumzada ..haaye
tujhpe hogi na kya kya jafa..(2)
ek rasan hogi barah gale ..haaye

5. Tu hai aur teri majbooriyan ..haaye
sun meri laadli meri jaan ..haaye
hum kahan honge aur tum kahan..(2)
ab sadae'n na dena mujhe ..haaye

6. Hogi chehre pe garde safar ..haaye
khoon kaano ka rukhsaar par ..haaye
ae sakina meri nauhagar..(2)
mere daman ko ab chhod de ..haaye

7. Yaad sughra ki tadpaegi ..haaye
jab watan ki hawa aaegi ..haaye
ashk aankho'n se barsaegi..(2)
nanhe haatho'n se mu' dhanple ..haaye

8. Humko rehna hai maqtal me ab ..haaye
ab mulaqat ho jane kab ..haaye
maut se badhke hai ye ghazab..(2)
hum pukarenge beti kise ..haaye

9. Ae rehan o raza shahe dee'n ..haaye
kehte the aye meri naznee'n ..haaye
mujhko sadma ye kam to nahi..(2)
sabr reha hoke ghar jaenge ..haaye

tumko rehna hai zindaan me..(3)